Kyunkeh yeh blog health kay hawalay se hay , isi waja se Yahan per human health keh baray main discuss kiya gaya hay lekin kafi logo kay israr per Main kabootar ki bimari aur health tips likhna chah raha hoon ,kyunkeh ghar per mene bhi kabootar palay hain .. Jahan Tak kabootar ki bimari ka taluq hay , uskeh baray main tau apko janwar kay doctors hi bata saktay hain..Lekin agar app kabootar ki health ka khayal rakhain gay tau zahir hay tandrust aur sehat mand insan jese buhut kum beemar hota hay isi tarha janwar bhi beemar nahi hoga , aur agar koi choti moti bimari hogi tau khud bakhod sahi hojae ga,,sirf thori buhut amm si medicines jese bukhar kay liye paracetamol , nazlay keh liye Cofcol wagera ..Isliyeh agar apka janwar thora buhut beemar hogaya hay tau usko yeh choti moti medicines istemal karai jasakti hay aur is keh liye doctor ki zaroorat nahi , lekin aisi soorat aye jub eik kaboota sakht beemar ho aur mar jae aur phir dosra ,phir teesra tau yeh wabai marz hota hay jese insan main hota hay aur iskay liye phir doctor keh pass hi jana paray ga...Magar yeh keh kafi log jinho nay naya naya kabotar palna hota hay aur unhay experience nahi hota un keh liye kuch zaroori batain aur palnay ka sahi tareeqa pata hona chahiye ,, isi hawalay se yahan per main kuch zarori health tips batana chahta hoon.
Yeh baat Jaan lena zaroori hay keh kabootar Palna koi mushkil kaam nahi , aur is main bhi khuda ki qudrat hay keh usnay birds keh liye aisa system rakha hay keh woh buhut jaldi baray hojatay hain aur sirf maximum 2 months tak urna bhi seekh jatay hain agar app unhay ghar main paal rahay hain tau ,warna Jo kabootar apnay parents say feed hasil kartay hain woh sirf eik mahinay main baray hokar urna bhi seekh lete hain lekin jo ghar main paltay hain woh slow barhtay hain aur urna bhi dair se sikhtay hain. Taqribun buhut say pigeon tau 3 months laga dete hain uraan sikhnay main .. Jin logo ko idea nahi hay keh baby pigeon kese palay jae tau un keh liye buhut hi asan si kuch batain note karlena zaroori hay ..
- kyunkeh buhut say parinday urnay keh baad bhi apnay maa baap ki chonch se feed hasil kartay hain aur jub tak urna nahi seekhtay unko syringe ki madad se feed karani chahiye .. Yeh buhut asan hay ,, aur unki khoorak main channay ka atta ya bajray kay attay ki garhi si lai banai jae aur syringe main bhar kar di jae ,, aur din main 3 times unhay feed karana chahiye waqfay waqfay se ,, jis main subah keh time buhut zaroori hay nasho numa aur health ke liye ..Is say ziada time food nahi dena chahiye lekin maximum agar apka bird ziada khoorak mangta hay tau 4 time di sakti hay .. Yeh maloom karna keh pait bhar gaya hay ya nahi tau is kay liye buhut asan tareeqa yeh hay keh birds ka pait gardan kay neechay ki taraf hi hota hay ,, gardan kay neeche walay hissay per hath laga kar dekhain keh pait full bhar gaya hay ya nahi..Aur syringe ko chonch main dal kar dabana bhi eik art hay ,,uskeh liye app angotha aur dosri finger ki madad se uski chonch pakray ,,aur kyunkeh woh bhoka hoga tau apni choch khud say kholay ga aur syringe ahista ahista dabaye ,,aur apka bird khud se woh feed lena shuru karday ga, agarcha woh 2 din ka baby hi kyun na ho..Mene 1 din ka pigeon baby bhi isi tarha pala hay ..
- Wese tau atay ki lai main jo pani hota hay us seh apkay bird ki pani ki zaroorat pori hojati hay lekin garmiyon main extra pani bhi dena parhta hay waqfay waqfay say ..Pani bhi syringe ki madad say diya ja sakta hay jo kabootar bilkul hi chootay ho unkeh liye tau sirf syringe say hi pani diya ja sakta hay lekin jo thoray say baray hogaye hoo unki chonch ko pani keh katoray ya piyalay main dala jae tau woh khud say pani piyen ge aur jub tak piyen tab tak pilatay rahain.Lekin yeh baat yaad rahay keh Feed keh baad pani nahi diya jae ,feed kay kuch gantay baad din main waqfay waqfay se pani diya jae ..Lekin baby pigeon palnay keh liye app ko farig hona zaroori hay ..Agar app koi job wagera ya kaam wagera kartay hain tau phir bhool jae ,is tarha sahi waqt per khana ya pani na milnay ki waja say apka janwar barhay ga bhi nahi aur achi sehat na honay ki waja se bimar hokar mar bhi jae ga.
- Agar birds keh bachay palnay hain tau eik bhi pala jasakta hay lekin zaroori hay keh eik sath 2 ,3 ya 4 bachay ho agar sardi ka mausam hay Tau ..Garmiyon keh mausam main koi masla nahi lekin ziada garmi se bhi janwar mar sakta hay aur agar garmi ziada hay tau Fan kay kareeb uska darba hona chahiye aur darbay per fan ki hawa lagni chahiye .. Aur jis jaga pingray main usko rakha jae uskeh neeche koi cotton ka kapra bicha lia jae aur ganda honay keh sath sath badal liya jae.Khaas kar sardiyoon main tau kapra bichana zaroori hay aur kam say kam 3 birds kay bachay eik sath palnay chahiye aur kum say kum din main aisi jagah rakha jae jahan dhoop aur roshni parhti ho .. Lekin raat main bahir ki hawa se bachaya jae .
- Jab apka pigeon itna bara hojae keh pori tarha par nikal ae tau usko khud say khanay ki training deni chahiye .. Khud say khanay kay liye usay sub say pehlay tau yeh keh Par nikalnay say pehlay hi bajra dena start kardena chahiye .Bajra is tarha diya jae ga keh angothay aur finger ki madad se uski chonch pakri jae aur munh main bajra dal diya jae..is tarha bajra khanay ki adat hojae gi ,phir kuch time baad hatho main bajra rakh dain aur jub apka bird apni chonch kholay ga khanay kay liye tau app uski chonch ko apne hatho per laen ge aur ahista ahista woh khud se khae ga.Agar kha na pae tau phir syringe ki madad say hi feed dain aur thori thori dair rozana usko is tarha train karain.
- khud say pala howa pigeon uraan sikhnay keh baad bhi aksar ghar per hi rehta hay aur bahir nikalnay say darta hay.. Aur kafi dair se urna sikhta hay ,jiskeh liye agar app dekhe keh usne par kholna start kardiye hain aur urnay keh liye par phelata hay tau app ki madad karain aur rozana apne hatho main rakh kar usko hawa main uraye magar thori si unchai se warna neeche gir kar usko chont bhi a sakti hay.Yeh baat jaan lena zaroori hay keh jis room main apka bird hay ,waha ceiling fan nahi hona chahiye,,jub apka bird urna seekh raha ho tau ,warna pankhay main akar marnay keh 100 percent chance hain ,waha kay pankhay ka connection band kardena chahiye. aur us room ko band rakha jae warna apka pigeon dosray room main bh ur kar a sakta hay aur pankhay se takra kar mar sakta hay .. Wese bhi birds ziada tar chaton per hi palay jatay hain..Room main bhi paal saktay hain lekin iskeh liye apko ziada care karni paray ghi..Shuru main mera sirf eik pigeon is tarha mar gaya tha ,lekin baad main mene kafi ehtiat ki ..Jub bird pori tarha say urna bhi seekh jata hay tau ghar say bahir nahi jata . is keh liye usko aisi jaga chora jae jahan dosre kabootar danay kay liye atay ho..Aur wahan chornay keh baad bhi woh kuch time baad apke pass wapis palat kar ghar ajae ga.Pinjray say ziada achi cheez hay keh kabootar ko Amm ki peti main pala jae . jo uskeh baray honay per upar se khulli rehti ho takay aram se woh bahir nikal sakay aur idhar udhar goom sakay ..Warna band hoga tau urna dair se seekhe ga.
Kabootar Ki Bimariyan :
Ankh Say Pani Ana , Ankhon ka Band hojana
Yeh bimari apnay aksar dosray birds main bhi note ki hogi ,mene bhi kuch murgi keh bachay palta tha tub buhut si dafa chozo ki ankh say pani ata tha aur ahista ahista dono ankhain band hojati thi ..Isi tarha kabootar ki ankh say bhi pani ana shuru hojae tau yehi alamat hosakti hay jis keh baad apka kabootar andha bhi hosakta hay . Agar aisa ho tau yeh medicines Vibramycin, Oracea, Adoxa, Atridox yeh sub eik hi chemical ki alag alag brands hain iski 1 capsule , Aur Terramycin (Oxytetracycline) ki 3 capsule thoray say pani main dal kar rakh dain , aur kabootar ko jub bhi piyaas lagay tau usko pani na dain ,balkeh yeh pani pila dain. Desi tareeqa yeh hay keh ankhon main khalis sarso ka tail dala jaye.
Ya phir agar bilkul chotay bachay ki ankhain kharab hojae tau chloramphenicol Eyes D eik eik qatra ankh main , aur 2 - 2 drops munh main subah sham dalain.
Ya Phir Tylosine 25 mg ki eik goli do martaba din main 5 din tak aur sath main Betnesol 5 mg wali panch din tak eik goli rozana dain . Ya Nefcon eye drops keh 2-2 qatray subah ,dopeher aur sham kabootar ki ankhon main dalin.
thnz brother u r jenius MA SHA ALLAH
ReplyDeletethnz brother u r jenius MA SHA ALLAH
ReplyDeletesubob bahot jankari mili thnks
Enter your comment...thankx u brother .... mera breeding male ki beet pani jaise aarahi hain.... wheat,bazara,roti,jwar,rice, water RO Ka seraha hu.... plz help me ..thanku
ReplyDeleteTedhe kabootar ko thik krne k liye koi dwa ya gharelu ilaj btao
ReplyDeleteKabootar pankh poore kaise ayenge koi dwa
ReplyDeleteBrother plz help mere Kabootar ko shardi ho gae hai koe idea
ReplyDeletereply plz
ReplyDeleteHI, sorry i didn't read your comment ..Kabootar ko sardi lag gayi hay ,ya phir woh bimar hay ya nazla zukam hay tau simple si medicines panadol aur arinac type dawai ,jese rigix wagera use karwai jasakti hay ,magar kabootar ko khorak kum deni hogi ..eik goli ka 1/4 hissa.
ReplyDeleteKabutar ko Air conditioner wale room me rakhne se koi dikkat toh nahi hai?
ReplyDeleteMera kabutare ud nhi pa rahe hai or savi kabutare langda rahe ha kha v nhi rahe hai koi medicine
ReplyDeleteKabootar ka har tahn ka ilaj janye urdu zuban me
ReplyDeletehttps://www.birdtreatment.com