Thursday 19 December 2019

Sidhi aankh Ka Phadakna



Amm tor per  Hamaray yahan  Ankhon kay phadaknay ko  koi qismat , bad sahgon , Khush kismati ya bad kismati  aur nuqsan say  tabeer kiya jata  hay . Aur mukhtalif religions main iska mukhtalif meanings  hotay hain . Lekin  Sedhi ankh phadkay ya  ulti ankh pharkay , yeh ek medical condition hay jo keh temporary hoti hay , aur kuch time tak rehti hay aur khud say theek hojati hay . Ab main is keh baray main kuch wazahat se bayan  karta ho .


Hamary Jisam main Muscles hote hain aur jo Muscles haddi say milay hote hain unhay  Skeletal Muscles kehte hain . Eyelid bhi Skeletal Muscles hain , jokeh haddi se milay hote hain . Aur tamam Skeletal Muscles ko Nerve Supply hoti hay aur yeh nerve se mili howi  hoti hay . Hamaray Brain se musalsal Bijli nikalti rehti hay , Jiski wajah se Skeletal Muscles ki Contraction hoti rehti hay  Aur muscles contraction ki waja se hum apnay muscles ko apni marzi keh mutabiq istemal kar sakte hain jiski  example hay eyelid ka kholna ya band karna jo hamaray control main hota hay . Aur Agar In Muscles ko Dimag se Bijli Supply nahi hoti tau  Muscles Contraction ki Salahiat Khatam hojati hay. Agar Pao ko Bijli nahi milay gi tau hum chal nahi Sakte  Aur agar isi tarha eyelid ko Bijli nahi milay gi tau hum Eyelid ko hila nahi sakte .

Dimag se Nikalnay wali Bijli Normal Quantity main nikalti rehti hay jis se hamara Nizam e Jisam chalta rehta hay , aur agar yeh bijli  Kum ya ziada quantity main niklay ya  Na niklay tau bimari kehlati hay . Kum nikalnay ki Soorat main Jisam main Taqat nahi rehti aur Ziada nikalnay ki soorat main jisam Falij Zada hojata hay . Agar yeh  Bijli Ziada nikalnay lagay tau Muscles jaldi jaldi Contract honay lagte hain  aur kabi kabhar Bijli buhut hi ziada Quantity main nikalna shuru hojati hay jis se Insan keh saray Jisam keh Muscles Tezi se Contract honay lagte hain . Jisam main Jhatkay lagne shuru hojate hain jisay Amm tor per Mirgi ya Epilepsy kehte hain .



Ankh  Kyun Pharakti hain ?



Aksar Auqat  Thori miqdaar main Bagair Zarorat keh Bijli Ziada Nikalti rehti hay  Aur apki Eyelid keh Nerve Ko Bijli Ziada Milti hay Jiski waja se Apki Ankh ( Eyelid)  Pharakna Shuru hojati hay . Agar apki Eyelid ka Pharakna kum hay tau Pareshani ki koi baat nahi hay aur app is taraf Dhiyaan na Dein lekin agar Ankhain Pharknay ka Silsila Barhta jaye aur  Pareskhan Kun Ban Jaye tau App Achay se Neurologist ko Check Karwaye . Kyunekh kabi kabhar ankh ka pharkna band na ho aur yeh barhta jaye tau yeh Mirgi ki bimari main tabdeel hojata hay .


Ankhon Keh Pharknay Ki  Dosri Wojohaat :



Iskeh Ilawa  Ankhon keh Pharaknay ki Dosri Wojohaat bi hosakti hay . Ankh ki jhalan , Ankhon per dabao , Thakawat , Neend ki Kami , Medicines keh Side Effects , Dimagi Dabao , Coffee , Tobacco ya Alcohol ka Ziada Istemal . 


Ankhon Ka  Pharakna In Islam : 



Wese jaha tak meri malomaat hay  , mene koi hadees ya Riwayat is baray main nahi parhi aur iskeh baray main dosray religions main buhut si batain mashoor hain Jis per dhiyaan na dein . Yeh ek medical masla hay aur  har cheez ko mazhab se jorna bewaqoofi hay .


1 comment:

  1. Sir Meri dono aankhen bht zada phrakti hn or ye silsila pichly 3 month se chla AA rha hai....or abhi bhi ye bht phrkti hn....jb bhi aankhon ko bnd krky kholun to ye bht DER tk phrkti hn....to iska reason btadengy AAP please...!!

    ReplyDelete