Friday 8 August 2014

Kabootar Palnay Ke Liye Zaroori Tips




Kyunkeh yeh blog health kay hawalay se hay , isi waja se Yahan per human health keh baray main discuss kiya gaya hay lekin kafi logo kay  israr per Main  kabootar ki bimari aur health tips likhna chah raha hoon ,kyunkeh ghar per mene bhi kabootar palay hain .. Jahan Tak kabootar ki bimari ka taluq hay , uskeh baray main tau apko janwar kay doctors hi bata saktay hain..Lekin agar app kabootar ki health ka khayal rakhain gay tau zahir hay tandrust aur sehat mand insan jese buhut kum beemar hota hay isi tarha janwar bhi beemar nahi hoga , aur agar koi choti moti bimari hogi tau khud bakhod sahi hojae ga,,sirf thori buhut amm si medicines jese  bukhar kay liye paracetamol , nazlay keh liye Cofcol wagera ..Isliyeh agar apka janwar thora buhut beemar hogaya hay tau usko yeh choti moti medicines istemal karai jasakti hay aur is keh liye doctor ki zaroorat nahi , lekin aisi soorat aye jub eik kaboota  sakht beemar ho aur mar jae aur phir dosra ,phir teesra tau yeh wabai marz hota hay jese insan main hota hay aur iskay liye phir doctor keh pass hi jana paray ga...Magar yeh keh kafi log jinho nay naya naya kabotar palna hota hay aur  unhay experience nahi hota un keh liye kuch zaroori batain aur palnay ka sahi tareeqa pata hona chahiye ,, isi hawalay se yahan per main kuch zarori health tips batana chahta hoon.

                           Yeh  baat  Jaan lena zaroori hay  keh kabootar  Palna koi  mushkil kaam nahi , aur is  main bhi  khuda ki  qudrat hay  keh  usnay birds keh liye  aisa system rakha hay keh  woh  buhut  jaldi baray  hojatay  hain  aur  sirf   maximum 2  months tak  urna bhi seekh jatay hain  agar app unhay  ghar main paal  rahay hain tau ,warna  Jo kabootar apnay parents say feed hasil kartay hain  woh sirf  eik  mahinay main  baray hokar urna bhi seekh lete hain  lekin  jo  ghar main paltay hain  woh slow barhtay hain aur  urna bhi dair se sikhtay hain. Taqribun buhut say  pigeon  tau 3 months  laga dete hain  uraan sikhnay main .. Jin logo  ko idea  nahi hay  keh baby pigeon  kese palay jae  tau  un keh liye  buhut hi asan si  kuch  batain note karlena zaroori hay ..


  • kyunkeh  buhut  say  parinday  urnay keh baad bhi  apnay  maa baap ki chonch  se feed  hasil  kartay hain  aur  jub tak urna  nahi seekhtay  unko syringe ki  madad se feed  karani  chahiye .. Yeh buhut  asan  hay ,, aur  unki  khoorak  main  channay ka atta  ya  bajray  kay   attay  ki  garhi si  lai  banai  jae  aur  syringe main  bhar  kar di jae ,, aur  din  main 3  times  unhay  feed  karana chahiye   waqfay  waqfay  se ,, jis main  subah  keh  time  buhut  zaroori hay  nasho numa aur  health ke  liye ..Is say ziada  time  food  nahi  dena  chahiye  lekin  maximum agar  apka bird  ziada khoorak  mangta hay  tau  4  time  di  sakti hay .. Yeh maloom karna  keh  pait bhar gaya hay ya  nahi  tau  is kay  liye  buhut asan tareeqa yeh  hay keh  birds ka pait gardan kay neechay ki taraf hi hota hay ,, gardan kay  neeche walay hissay per hath laga kar dekhain  keh  pait  full  bhar  gaya hay ya nahi..Aur syringe  ko  chonch main dal  kar dabana bhi  eik  art hay ,,uskeh liye app  angotha aur  dosri  finger ki madad se uski chonch pakray  ,,aur  kyunkeh  woh bhoka hoga tau apni choch khud say kholay ga  aur syringe ahista  ahista  dabaye ,,aur apka bird khud se woh  feed lena shuru karday  ga, agarcha woh  2  din  ka baby  hi  kyun na ho..Mene 1 din ka pigeon  baby bhi isi tarha  pala hay ..

  •  Wese  tau  atay ki lai  main jo  pani hota hay  us seh  apkay bird  ki  pani  ki zaroorat pori hojati hay  lekin  garmiyon  main extra  pani bhi dena  parhta hay waqfay waqfay say ..Pani  bhi syringe ki madad say  diya  ja sakta hay  jo kabootar  bilkul hi  chootay ho  unkeh liye tau  sirf  syringe say hi pani diya ja sakta hay lekin jo thoray say baray hogaye hoo unki chonch ko pani keh katoray  ya piyalay  main dala jae tau woh  khud say pani  piyen ge aur jub tak piyen tab tak pilatay rahain.Lekin yeh baat yaad rahay  keh  Feed keh  baad  pani nahi diya jae ,feed kay kuch gantay baad  din main  waqfay  waqfay se  pani  diya  jae ..Lekin baby pigeon palnay  keh  liye  app ko farig hona zaroori hay ..Agar app koi job wagera ya kaam wagera kartay  hain  tau phir bhool jae ,is tarha sahi waqt per khana ya pani na milnay ki waja say apka  janwar  barhay ga bhi nahi aur  achi sehat na honay ki waja se bimar hokar  mar bhi  jae  ga.
  
  •   Agar  birds keh  bachay palnay  hain  tau  eik bhi pala jasakta hay  lekin  zaroori hay keh  eik sath  2 ,3  ya  4  bachay ho  agar sardi  ka mausam  hay  Tau ..Garmiyon keh mausam  main  koi  masla nahi  lekin  ziada  garmi se  bhi  janwar  mar sakta hay aur agar garmi  ziada  hay  tau  Fan kay  kareeb  uska  darba hona chahiye aur darbay per  fan ki  hawa lagni  chahiye .. Aur  jis  jaga  pingray main usko  rakha jae uskeh neeche koi  cotton ka kapra  bicha lia jae  aur  ganda honay keh sath sath badal liya jae.Khaas kar  sardiyoon main  tau  kapra  bichana zaroori hay  aur kam say kam 3 birds kay bachay  eik sath  palnay  chahiye aur  kum say  kum  din main  aisi jagah rakha  jae  jahan dhoop aur  roshni parhti ho .. Lekin raat main  bahir ki  hawa se bachaya jae .

  •  Jab apka pigeon  itna  bara  hojae  keh  pori  tarha  par  nikal  ae  tau usko khud say khanay ki  training  deni  chahiye .. Khud say  khanay  kay liye  usay sub say pehlay tau yeh  keh  Par nikalnay say pehlay  hi  bajra dena start  kardena chahiye .Bajra is tarha  diya jae  ga  keh  angothay  aur finger ki  madad se uski  chonch pakri jae aur munh main bajra  dal  diya  jae..is  tarha  bajra khanay ki  adat hojae gi  ,phir kuch time  baad hatho main  bajra  rakh  dain aur  jub  apka  bird  apni chonch kholay ga khanay kay liye  tau  app uski  chonch ko apne hatho per laen ge aur ahista ahista woh khud se khae ga.Agar kha na pae tau phir syringe ki madad say hi feed dain aur thori thori  dair rozana usko is tarha train karain.

  •  khud say  pala howa pigeon  uraan sikhnay  keh  baad  bhi  aksar  ghar per hi rehta hay aur bahir  nikalnay say darta  hay.. Aur kafi dair se urna sikhta hay ,jiskeh liye agar app  dekhe keh usne par kholna start kardiye hain aur urnay keh liye par phelata hay tau app ki  madad karain aur  rozana  apne hatho main rakh kar usko  hawa main uraye  magar thori si unchai se warna  neeche gir  kar  usko chont bhi a sakti hay.Yeh baat jaan  lena  zaroori hay  keh  jis  room main  apka bird hay  ,waha  ceiling fan nahi hona  chahiye,,jub  apka bird urna seekh  raha ho tau ,warna  pankhay main akar marnay keh 100 percent chance  hain ,waha kay  pankhay  ka  connection  band kardena  chahiye. aur us room ko  band  rakha jae  warna apka  pigeon dosray  room main bh ur  kar a  sakta hay  aur  pankhay se takra kar  mar sakta hay .. Wese bhi birds ziada tar  chaton  per hi palay jatay  hain..Room main bhi  paal  saktay hain lekin iskeh liye apko  ziada care karni paray  ghi..Shuru main mera sirf  eik  pigeon is tarha  mar  gaya  tha ,lekin  baad main mene kafi ehtiat ki ..Jub  bird pori tarha  say urna  bhi seekh jata hay  tau  ghar  say  bahir  nahi  jata . is keh liye  usko  aisi jaga chora  jae  jahan  dosre kabootar  danay kay liye atay ho..Aur wahan chornay keh baad  bhi woh  kuch  time baad apke  pass wapis  palat  kar  ghar ajae  ga.Pinjray say  ziada  achi cheez  hay keh kabootar ko  Amm ki peti main pala jae . jo  uskeh  baray  honay  per upar  se khulli  rehti ho  takay  aram se woh bahir nikal sakay aur idhar udhar goom sakay ..Warna  band hoga tau  urna dair se seekhe ga.

 


Kabootar  Ki  Bimariyan :


Ankh Say  Pani  Ana , Ankhon  ka  Band  hojana

   Yeh  bimari   apnay  aksar  dosray  birds  main  bhi  note  ki  hogi ,mene  bhi kuch murgi  keh  bachay  palta  tha  tub  buhut  si  dafa   chozo  ki  ankh  say  pani  ata  tha aur  ahista  ahista  dono  ankhain  band  hojati  thi ..Isi   tarha  kabootar  ki  ankh say bhi  pani  ana  shuru  hojae  tau  yehi  alamat  hosakti  hay  jis  keh  baad  apka  kabootar  andha  bhi  hosakta  hay . Agar  aisa  ho  tau  yeh medicines  Vibramycin, Oracea, Adoxa, Atridox  yeh  sub  eik   hi  chemical  ki  alag  alag  brands  hain iski  1 capsule , Aur  Terramycin (Oxytetracycline)  ki  3   capsule  thoray  say   pani  main  dal  kar  rakh  dain , aur  kabootar  ko  jub  bhi  piyaas  lagay  tau  usko  pani  na  dain  ,balkeh  yeh  pani  pila  dain. Desi  tareeqa   yeh  hay  keh  ankhon  main  khalis  sarso  ka  tail  dala  jaye.

Ya  phir   agar  bilkul  chotay  bachay  ki  ankhain  kharab  hojae  tau  chloramphenicol Eyes D  eik  eik  qatra  ankh  main , aur  2 - 2  drops  munh  main  subah  sham  dalain. 

Ya  Phir   Tylosine 25  mg  ki  eik  goli   do  martaba  din  main 5  din  tak  aur  sath  main Betnesol  5 mg   wali   panch  din  tak  eik  goli  rozana  dain . Ya Nefcon  eye  drops   keh 2-2  qatray   subah ,dopeher  aur  sham   kabootar  ki   ankhon  main  dalin.



9 comments:

  1. thnz brother u r jenius MA SHA ALLAH

    ReplyDelete
  2. thnz brother u r jenius MA SHA ALLAH
    subob bahot jankari mili thnks

    ReplyDelete
  3. Enter your comment...thankx u brother .... mera breeding male ki beet pani jaise aarahi hain.... wheat,bazara,roti,jwar,rice, water RO Ka seraha hu.... plz help me ..thanku

    ReplyDelete
  4. Tedhe kabootar ko thik krne k liye koi dwa ya gharelu ilaj btao

    ReplyDelete
  5. Kabootar pankh poore kaise ayenge koi dwa

    ReplyDelete
  6. Brother plz help mere Kabootar ko shardi ho gae hai koe idea

    ReplyDelete
  7. HI, sorry i didn't read your comment ..Kabootar ko sardi lag gayi hay ,ya phir woh bimar hay ya nazla zukam hay tau simple si medicines panadol aur arinac type dawai ,jese rigix wagera use karwai jasakti hay ,magar kabootar ko khorak kum deni hogi ..eik goli ka 1/4 hissa.

    ReplyDelete
  8. Mera kabutare ud nhi pa rahe hai or savi kabutare langda rahe ha kha v nhi rahe hai koi medicine

    ReplyDelete