Sunday 3 August 2014

Ghar Main Ubtan Bananay Kay Tareeqay


Ubtan  banana tau hamari purani riwayat hay .Pehlay kay log  tau buhut ziada ubtan istemal kartay thay  aur  ajj kal keh zamanay main bhi log  beauty Parlour  kay sath  sath Dulhan ko Shadi say   pehlay   ubtaan lagatay hain takay shadi keh  din tak dulhan keh chehray per nikhar ajae aur  khoobsoorti main izafa ho.Yahan per ubtan bananay keh kuch sastay aur achay  se  tareeqay bata deta hoon jo har koi  asani se bana sakta hay .In keh ilawa kuch gharelo totkay bhi bataon ga , shayad in main se  koi appki  jild per mawafiq ajae ya app jis  se  faida mehsoos karain  usay istemaal karkay  app beauty Parlour kay mehengay kharchay say  bach jae , aur jiska faida sirf  temporary hota hay jubkeh totkay se hamesha keh liye faida hota he.


1 ) Narangi  ya  mosami keh kuch chilkay  jama karlain  aur sukha lain,phir unhay eik piyali dodh main bhigo lain . 2  ya 3  ghantay  baad  jub  chilkay naram hojae tau unhay bareek pees lain aur raat ko  sotay  waqt is ubtan ko chehray per laga  lain . 5 ,6  days  tak yeh tareeqa rozana karain.

2 . Badaam ki giri ko  lemo kay ras main bareek pees lain aur phir is main  anday ki safaidi achi tarha phaint kar mila  lain  aur phir is  main thora  sa Basin (chanay ka atta)  dal  kar lai si bana lain  aur  is  laip  ko  chehray ,gardan aur  bazo  per malain . pandra , bees  minute  baad jub  yeh  sookh jae  tau neem garam pani se dho lain. Haftay main 1 ,2 baar app yeh kaam asani se  karsaktay hain.

3 .  Haldi aur  Gandum ka atta  humwazan lekar  cow milk  jo kacha ho ,us main mila lain  aur chehray per ubtan ki tarha  malain , is se  chehray per eik halki  zafrani jalak dikhayi dene lagti hay ..

4 . Gandum ka atta  aur  basin 125 gram , haldi eik tola , Sangitray keh sokhay howay chilkay eik chatank , zadal safaid eik tola , sub bareek pees kar atay main mila  lain aur kisi shishi main mehfooz karlain .. Har roz  yeh ubtaan dodh ya  pani main  shamil karkay lai si bana lain aur chiknai keh liye  sarso ka khalis tail ya dodh ki balai shamil karain . 15 minute tak chehray per khoob malain lekin zoor say nahi balkeh ahista ahista ..Is  tarha khoon ki gardish say  apka  chehra chamak uthay  ga.

5. Kharbozay keh beej , Sangitray keh chilkay , Sonf aur jao ka atta  , sub  barabar miqdaar main lay lain aur unhay bareek pees kar  subah aur shaam chehray per malain ..Malnay kay adhay ghantay per chehray ko dho lain.



Chehray Ki Rangat Nikharna



1 . Gajar kay rus ko cotton ki madad se har roz  chehray per laganay se chehra saaf aur jild achi hojati hay.

2. Thori si masoor ki daal , kuch bari ilaichian , thoray say cow milk main bhigo kar bareek pees lain  aur chehray per malain  aur 2 ghantay per kisi achay sabun say neem garam pani se chehra  dho lain.

3. Balai main thora sa asli shehed mila kar chehray ka masaj karain ..Is say jild saaf aur mulaim hojae ghi.

4 . Podinay keh pattay ubaal kar thanda karlain. Rozana nihar munh  1/4  cup piyen .

5 . Raat ko sonay  say pehlay lemo , zafran  aur zaitoon ka tail mila kar chehray per malain.

6.  lemon juice, safaid glycerin  aur  gulab ka arq  teeno mila kar raat ko sonay se pehle lagaye.

7 . Taza dodh say  rozana munh dhonay say rangat nikhar ati hay aur barish kay pani ko jama karkay us say munh dhona bhi buhut mufeed hay.

8 . Eik anda tor lain aur uski  zardi alag karlain aur is main 2 teaspoon rogan badam mila lain aur  eik teaspoon  lemon juice shamil karlain aur phir in sub  cheezo ko achi tarha phaintay  yahan tak keh jhaag ban  jae aur phir isay ahista ahista  chehray per malain. 10 say 12  minute tak laga rehnay dain aur phir neem garam pani say dho lain.

No comments:

Post a Comment