Gharelu Totkay And Tips - Gharelu Ilaj- Eyes Problems - Skin Disease - Stomach Problems - Qabz - Weight Loss Tips .
Wednesday, 19 March 2014
Mera 25 Sala Purana Langra Pan Kese Khatam Howa
Zindagi keh 35 saal pehle ka woh waqea ajj bhi mere liyeh buhut ehtmiat rakhta hay. Qudarti asan Ilaj ka sahara agar mujay hasil na hota tau ajj main langra tau hota hi , aur na janay kiya buri halat hoti ,jiska main is waqt tasavur bhi nahi karsakta . Us waqt meri age sirf 10 saal thi aur main 5 class main parhta tha. Achanak kisi hadsay keh bagair mere sidhay paon keh oper halka dard honay laga aur aisa mehsoos howa keh paon terha hota ja raha hay. Main chalnay phirnay main dosro keh saharay mohtaaj hogaya , aur mujay yaad hay keh mere papa ji mujay gaud main ya kandhay per hospital lay gaya kartay thay. Thoray dino tak kahi ilaj kiye gaye aur mujay yaad nahi keh kaun kaun si dawain di gayi lekin paon ki halat main koe farq nahi aya balkeh aur bigarti gayi. Mera abba ji us waqt government school keh teacher thay aur shayad 70 , 80 Rupay salary thi aur zahir hay ziada kharcha bhi nahi karsaktay thay aur main achi tarha samaj sakta hoon keh hospital main reh kar mera ialj karwana unki isteta-at say bahir tha.
Mera abbo keh eik dost thay jo kisi sarkari daftar main mulazim thay aur unko pani keh ilaj ka thora sa ilm tha . Tajarba tau ziada na tha magar unka is tareeqay ke ilaj per bharosa zaroor tha aur unkay mashoray say yeh tay howa keh mere paon ka qudarti ilaj kiya jaye. Bus mere khanay per pabandi laga di gayi aur bagair chanay howay atay ki roti , loqi , turai ki tarkari aur saag paat , in sab ka mustaqil mizagi say , ragbaat ke khilaaf jo mene istemal shuru kiya , iski tareef mere rishtay daar ajj bhi kiya kartay hain.Phir bhaap ka ghusal ( steam bath) shuru karwaya gaya aur din main 3 ,4 baar mujay steam bath dilaya jata. Har haftay bhaap ka ghusal kabhi kabhi tamam jisam ko aur kabhi kabhi sirf gutno ko karaya jata. Mujay yeh achi tarha yaad hay keh kahin baar dhoop main lita keh gutnay per keelay ka patta aur oper say chaddar ura kar mujay dhoop ka gusal bhi karaya gaya tha. Lag bhag 2 mahinay keh baad mere gutnay keh upar ka dard gutnay keh baye janib peechay ki taraf agaya. Is jagah per kuch sozish agayi aur surkh parhnay laga. Bhaap aur dhoop ka istemaal tau chalta hi raha.Walid sahab keh dost keh mashoray say sirf chikni matti ki patti sozish ki jaga per rakh di gayi aur kabhi kabhi thanday pani ki gaddi bhi rakhi janay lagi.Mujay woh din ab tak yaad hay jis din matti ki patti uthatay hi uskeh nichay eik chota sa surakh dikhaye diya. Uper bataye gaye tamam ilaaj chaltay rahay , aur sozish keh uper ka sorakh ahista ahista barhnay laga aur eik bara sa phora ban gaya aur iskeh pass hi eik dosra surakh shuru howa, dosto ko shak howa keh kahin nasoor na hojaye , magar abba ji ka yaqeen tha isliye yeh ilaj unho nay musalsal jari rakha , zakham per matti aur pani ki gaddi barabar rakhi jati thi aur zakham say peep nikalna ahista ahista band hogaya aur phir zakham apnay app bhar kar sokh gaya . Tab say mera langra pan hamesha kay liye khatam hogaya aur ajj tak mera yeh paon mukamal tandrust aur theek hay , wese mere gutnay keh peechay do nishaan hain jo hamesha mujay is waqeye ko yaad dilatay hain . Yeh tajarba hum logo ki nazar main eik hairat angaiz kamal tha. Tab say mene in totko per buhut say tajarbay kiye aur medicines keh istemal say bay parwah hogaya aur main yeh samajta hoon keh jo faiday bimari main khanay ki pabandi aur faqay say hotay hain woh dawao say nahi hotay.
Doctors kay ilaaj per mera bilkul bhi yaqeen nahi hay . Main garmi ki chution main gaon chala jata tha aur eik din gaon kay chlorine milay howay pani ka muj per buhut bura asar howa. Mera sans pholnay laga aur qabz ki shikayat paida hogayi aur mujay dammay ka khadsha hua . kuch doston say pata chala keh chlorine keh pani say aisi hi takleef uthani parhti hay . Wapis akar mene kuch doctors aur hakeemo ko bhi check karwaya lekin kuch faida nahi howa magar baad may mene dekha keh yeh waqt keh sath sath khanay main ehtiat karnay say khud sahi hogaya .Pabandi aur sada khoraak sehat ki chabi hay. Haan is baat ki mene qasam tau nahi khayi keh medicines ka istemal bilkul hi nahi kiya jaye , lekin iska mujay pora yaqeen hay keh jis raftar say medicines ka istemaal kiya ja raha hay ,woh na sirf gair zaroori hay balkeh nuqsan deh bhi hay.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment