Gharelu Totkay And Tips - Gharelu Ilaj- Eyes Problems - Skin Disease - Stomach Problems - Qabz - Weight Loss Tips .
Saturday, 22 March 2014
Kharish aur Heart Attack Ka Anokha Ilaaj
Shaam ka waqt tha ,jub mere Matab ( dawa khanay) main eik ajnabi mere samnay aya aur salam karkay Qursi per mere samnay beth gaya.Mere na pehchan nay per bhi usko kuch hairat na howi . Usne pocha ,kiya app nay mujay pehchana nahi ,mene kaha , " ji bilkul bhi nahi" . Phir mujay pata chala keh woh mera purana dost mohsin tha aur kuch mahino pehle tau woh shave kiya karta tha aur uskay rukhsaro per gulab ki patiya larazti thi aur ab wohi rukhsaar darhi keh lambay siyah baloon say dhakay howay thay. Yeh sub dekh kar main hairan reh gaya aur woh kafi udaas lag raha tha.
Usne kaha ,main beemar hoon ,buhut ziada beemar .Penicillin keh 12 injection ab tak lag chukay hain lekin koe faida nahi how aur bhi buhut say ilaaj kara chuka hoon.Mujay hairat howi keh akhir aisa kyun howa, usnay bataya howa kuch khaas nahi tha bus eik din shave kar raha tha aur blade say zara si khaal cut gayi aur phir saray chehray per danay paida hogaye jo phail kar zakham hogaye aur zakham say sairo pani rasta hay. Pooray badan main shadeed kharish hogayi aur heart attack bhi honay laga.Mene usko buhut gaur say dekha aur nuskha likhna chaha ,usnay qalam pakartay howay kaha keh dawaon say tang a chuka hoon,ab main khud kushi karsakta hoon,dawa nahi pi sakta .Usnay kaha mujay koe tarkeeb nahi bata saktay kiya.Bata sakta hoon , zaroor bata sakta hoon ,mene zara dair soch kar kaha .Kuch minute baad mene kehna shuru kiya . " app rozana suraj nikalay say pehlay shehar kay bahir kisi khulay maidaan main sair kay liye jaya karain aur taiz taiz chaliye takay appko baray baray sans lene ki zaroorat ho aur sans lete waqt mun bilkul band rakha jaye aur naak say sans li jaye aur is dooran zara zara si dair baad hawa ki taraf rukh karkay kharay hojaya karain aur khoob gehray gehray sans liya karain. Shaam ko bhi isi tarha kiya karain.
Mohsin sub say ziada chehray ke zakhmo say pareshan tha aur us nay shave karna bhi choor diya tha.Aglay hi din say usnay is program per amal karna shuru kardiya . 10 din baad usnay bataya keh ab zakhmo say pani nahi rasta aur zakham sokhnay bhi lagay hain. Mena kaha keh ainda app sunlight bhi apni body per phochaye.Iskay liye apni shirt utar kar nikaltay huwe suraj keh samnay kharay hojaye aur thoray thoray waqfay keh baad side change kartay rahain takay body keh har hissay per sunlight phoch sakay. Dhoop lene keh fooran baad sandal ka tail body per mal kar neem kay sabon say ghusal karliya karain.
Isi hidayat per woh amal karta raha aur uski sehat taizi say theek honay lagi..Ghiza keh silsilay main sakht ehtiat ki hidayat ki gayi. Woh sirf tarkari hi khata tha aur kuch Fruits wagera. Jub woh tandrust hogaya tau mene usko bakri keh dodh main sharbat-e-anab daal kar peene ko kaha aur ahista ahista dodh aur sharbat ki quantity main izafa karnay ko kaha aur dodh ki quantity half litre tak kardi . 40 din guzarnay per uskeh zakham bilkul sookh chukay thay. Kharish bhi khatam hogayi thi aur heart attack eik baar bhi nahi howa tha .Woh itna dara howa hay keh ajj bhi is hidayat per amal karta hay aur isko usnay apnay routine main shamil karliya hay.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment