Gharelu Totkay And Tips - Gharelu Ilaj- Eyes Problems - Skin Disease - Stomach Problems - Qabz - Weight Loss Tips .
Friday, 4 December 2015
Tips To Become Always Feels Happiness
Yeh eik sach baat hay keh duniya main insan keh liye dukh ziada aur khushiyaan buhut kum hain . Aur ajj kal keh jadeed daur main jahan Maal aur Dolat ka hona buhut zaroori hay , aisay main har insaan keh liye Financial Problems aur dosri tensions , us ki raah main buhut bari rukawat hain ..Lekin buhut se log aisay bhi hain jin keh pass sub kuch hote howe bhi dukhi nazar atay hain ..Kyunkeh Human Desires ki koi limit nahi hoti , eik want pori honay keh baad dosri desires continuously chalti rehti hay ..
Well yahan per mera main topic tha keh phir bhi agar app sakht tension main hain aur bila wajah ya kisi waja ki bina per buhut dukhi hain tau aisay main app kiss tarha khush reh saktay hain ..Aisi conditions main kuch buhut hi easy tips bataon ga jis se app ka depression wagera bhi khatam hoga aur app bari se bari musibaat bhi jhelnay keh kabil reh saktay hain .
1 . Exercise depression ko khatam karnay main buhut hi eham kirdar ada karti hay ..Exercise aur tension ka relief honay ka apas main buhut bara link hay .. Chahay musibaat kitni bari ho , app ko depression per control rahay ga .. Sub se achi aur behtreen exercise Taiz qadmo se Walking karna hay .. Kum se kum haftay main 4 dafa park main khuli hawa main 1/2 hour keh liye taiz qadmo se chehel qadmi zaroor kiya karain .. Depression per control rahay ga ..Yeh mera personally azmaya hua hay aur buray se buray waqt main sahara mil jata hay insan ko.
2 . Five times ki prayers zaroor ada karain .. Studies say yeh baat bilkul clear hochuki hay keh namaz mental health keh liye buhut hi behtreen hay aur eik tarha hay minor Yoga ka kaam karti hay .. Is keh anti psychological benefits bilkul proved hain .. Foreign countries main Buhut se doctors Yoga keh saath namaz ko shamil karnay ka mashora dete hain ..
3 . Buhut si dafa sub kuch karnay keh saath bhi stress ko kum nai kiya jasakta ..Kuch logi keh Financial , Relationship Problems , Personal Life matters is tarha keh hote hain keh insan koshish keh bawajood bhi control nahi kar pata ..Aisay main bus yeh solution hota hay keh app 10 minute keh liye yeh khayal karain keh wese bhi zindagi hamesha keh liye nahi hay aur maut har kisi ko ani hay tau phir yeh dolat , shohrat aur maslay sirf eik Saans ka masla hay aur jidhar yeh breathing stop howi waha sub kuch khatam hojanay ko hay ..
4 . Hamesha Friends ki Gathering main shamil howa karain aur ziada se ziada dosti banaya karain ,, takay musibaat main koi acha dost hi kaam a jaye ..Aur dosto keh saath gathering se taqribun stress kafi haad tak khatam hojati hay..
5 . Apne app ko akela na samjay .. Agar app kisi maslay ka shikaar hain , kisi financial problem , relationship problems ya phir koi Chronic Disease ..App ki tarha buhut se dosray log hain jo duniya main is tarha se zindagi guzar rahain hain aur phir bhi happy hain ...Yahan tak keh United States jesi country main aisay log mojood hay jin keh paas eik waqt ka khana ata hay tau unhay yeh nahi pata hota keh aglay waqt ka khana unhay kub naseeb hoga .. World is full of sorrows and difficulty ..
6 . Music se bhi kafi hud tak depression per control ata hay ..Isliye eik limit main thora music ,app keh mood keh hisaab se sun lia karain ..Lekin religion main yeh allow nahi hay ,isliye religion ko pehle follow karain ..
7 .. Achi giza aur depression ka apas main buhut gehra taluq hay ..Healthy foods and fruits zaroor lia karain jese apple , oranges , peach wagera ..
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
salam thanks aap ne acha mashora diya
ReplyDeletewasalam , thanks
DeleteNice post about happiness health tips.............
ReplyDeleteDesi Health Tips