Sunday 6 September 2015

Daar Cheeni Tips For Weight Loss



Kyunkeh  ajjkal  keh  jadeed  daur  main  bhi  Weight  loss  eik  buhut  hi  ziada  discuss  honay wala subject hay  aur   har  zamanay  main  yeh  problem  raha hay , kyunkeh motapa  pehle  say  hay aur  yaqinan rahay ga  aur  zahir hay  yeh  Khanay  peenay  main  la  parwahi  ka  nateeja  hota hay aur  ziada  fats ,carbohydrates  wagera  ki  waja  se   hi  hota  hay .. Is  silsilay  main  kafi  logo  ko  dekha  gaya  hay  jo  eik  miracle  food  ya  fat  burner   supplements  talash kartay hain  jo  bagair kisi  mehnat  keh  appka  wazan  ghata  dey , aur is  silsilay  main  Daar  Cheeni  keh  baray  main  bhi  buhut se log  search kartay hain ..


Lekin   yeh  haqiqat   se   koso  door  hay .. Aisay tau  1000  say  ziada  foods  aur  supplements  talash  karnay  per  appko  mil  jayen  gay  jis  se  app  wazan  ko maintain  rakh  saktay  hain  , aur  wazan  bhi  girta  hay  lekin  phir  jub   app ko  bhook lagay  gi tau  app  double  energy  consume  karain gay aur  weight   wahi ka wahi  rahay  ga ..Isliye  wazan  ko  maintain rakhnay  keh liye balance  diet  aur  exercise  say  ziada  acha totka  koi  aur nahi ..


Lekin  phir  bhi   apko  mayoos honay ki  zaroorat  nahi ..Agar  app  apni diet  per  sahi  control  karain  aur  saath  main exercise bhi jari  rakhain aur Cinamon  ka  istemal  is tarha  karain  keh  4 , 5  peices  isay  pani  main  boil  karain  aur   saath   main   agar  green  tea  bhi  mila  di  jaye tau  sonay per sohaga  hoga , lekin  bagair   cheeni  milaye  zaroori  hay  .. Phir  isay  achi  tarha  boil  karkay  neem  garam  ya  sip  lekar  pi  saktay  hain , yeh sub se acha tareeqa hay  isay use karnay ka aur yeh tarqeeb  din main 4 baar zaroor karain  . Aur  uper say lemon keh  qatray  bhi  daal  diye  jaye  tau  buhut  acha  hay .. Daar  Cheeni keh  jo  Faiday  Weight  loss  main  hotay  hain , un per  mandarja  zail  tehqeeq samnay  ayi  hay ..



Blood Sugar Kum Karti  hay 



Kyunkeh  Daar  Cheeni  blood  sugar  ko   kum  karti  hay  aur  isay  eik level  per  maintain  rakhti  hay , Aur   weight  maintain  rakhnay  keh  liye  khoon main  shakkar  ka  sahi  balance  hona  zaroori  hay .. Iskeh  ilawa  Cinamon Insulin  level  ko  bhi  maintain  rakhti  hay  aur  directly bhi  sugar  ko  kum karti hay ..Eik  study  keh  mutabiq  aya  hay keh  apni  khoorak  main  Daar Chenii  rakhi  jaye  tau  yeh  18 to 29 %   tak  sugar ko  kum karti hay .. 


Nizam E  Hazam  Ko Taiz   Karna 


     Yeh  mashoor  Qudarti  boti ya masala  metabolism   ko  fast karnay  main buhut  hi  achi  sabit  hoti hay ..Na  sirf   sugar  level  ko  kum  karnay  main  madad  deti hay  balkeh  app keh nizam  hazam  ko  25 %  taiz  kardeti hay aur  appka  khaya  howa  khana  jaldi  hazam  hojata hay  aur  saath main sugar ko  bhi  burn  karti  hay  ..Isi  wajah  se  wazan  kam  karne  main  iskeh faiday  lajawaab  nazar  atay   hain .




Pait  Ki  Charbi  Ko  Jalati  Hay 


Daar cheeni ki khapat aap ke jism ke dosray hisson se ziada pait ki charbi per ziyada se ziyada  assar andaaz hoti hai.kyunkeh pait ki charbi  aksar bohat seh logo ke liye aik masla  hai, to is ke jism ki charbi kum karne ke liye jad-o-jehad hai jo un logon ke liye achi khabar hai. yeh aap ke kapray ya patlon size faida, lekin yeh hamaray sab se ziyada ahem aaza mein se kuch ke tor par faltoo pait ki charbi jokeh  charbi ki sab se ziyada khatarnaak qisam hai , isay kum  karnay main behtreen  qirdar  ada karti  hay .

2 comments:

  1. Informative post. keep sharing such a useful post.

    Acupuncture in Chennai

    ReplyDelete
  2. This weight loss reading helps you accomplish three things: Discerning the weight loss definition. Handling the physical body fat attack. Realizing the gigantic impact of weight loss psychology. calgary weight loss clinics

    ReplyDelete