Tuesday 9 June 2015

Danton Ki Safai Aur Hifazat Ka Tariqa


Jab hum sotay hain to hamaray ghizai zarraat mutaffan hokar jaraseem bacteria aur virus ki shakal ikhtiyar kar lete hain yahi jaraseem jism ki khatarnaak bimarion aur pareshaniyon mein mubtala honay ka zareya bantay hain aur un Germs ki wajah se jism terhan terhan ki khatarnaak bimarion mein mubtala hojata hai .


Medical science yeh kehti hai ke jism se uthnay wali 90 percent bimarion ka talluq hamaray mun se hai aur yeh baat waqai theek hai hum mun se khatay hain' peetay hain' aur chabatay hain aur mun hi se ziyada ya ghalat kha kar bemaar hotay hain ensaan bemaar is waqt hota hai jab mun ka parhaiz nah kere aap saari Ghizao main parhaiz karlian, phir bhi aap ko mun ki taraf tavajja zaroor karni hogi. kyun? is ki wajah yeh hai bakol aik Danishwer ke jo log khanay ke baad khalal karte hain woh sugar' hipatayts' motapa' joron ke dard aur aasabi khichao  aur jismani thakawat aur tension se mehfooz ho jatay hain. yeh sofisd haqeeqat hai' khalal aik mustaqil sunnat hai. sunnat harf aakhir hoti hai' science ki har tahaqeeq harf  e akhir nahi .qayamat taq sunnat par reserch horahee hai aur hoti rahay gi.


Mein app sub ko aik tajurbah aur mazboot mushahida dena chahta hon ke agar aap sehet' tandrusti aur dantoon ki . Umar sosal se ziyada chahtay hain aur aap ke daant aap ka sath den' aap ki health  mein aap ko hamesha taro taaza rakhen aur sahet mand rakhen to phir aap aik cheez meri maan len aur woh yeh hai ke khalal ka istemaal apni majaboori aur apni zaroorat banalen. mein ne aik dental surgeon ko yeh kehte hue suna ke subah nashtay ke baad brush dosaron ke liye karo yani tumahray mun se badboo nahi aeye gi aur raat ko brush apne liye karo ke tumahray danoton se bemariyan jism mein daakhil nahi hon gi. yun daant bhi mehfooz aur jism bhi mehfooz lekin brush bhi hamaray danoton ko sofisd saaf nahi karta balkay woh bhi oopar ke hissay kosaf karta hai jabkay neechay andar se teeth ki safai nahi hoti. khalal (tili se safai ) wahid cheez hai jo danoton ko bohat hi andar se saaf karta hai' khalal kabhi lohay' peetal' tanbay ka nah ho balkay hamesha tinka aur lakri ka ho kyunkay is ka danoton par bohat assar parta hai aur khalal taiz dhaar nah ho aik sahib mere paas tentees saal puranay maiday anton aur jigar ki kayi be shumaar khatarnaak amraaz mein mubtila thay .



 Mein ne inhen mukhtasir duwaein tajweez kee lekin do cheezon ki khusoosi takeed ki aur sath yeh bhi kaha ke yeh do cheeze aap ka ilaaj bhi hai sahet mandi bhi hai aur cure bhi. pehli cheez yeh hai ke aap apni jaib mein khalal rakhen aur khanay ke baad mustaqil sirf aik minute aap khalal ko den aur doosri cheez raat ko sotay waqt khalal karkay brush ya maswaak zaroor karen aur is ke baad aap Zaitoon ke tail ke teen qatray apni zabaan par daal kar is zabaan ko poooray danoton par mil len. bas! yeh is waqt karen jab aap is ke baad nah kuch khayen nah pyin balkay sojayein. science ki aakhri taraqqi is baat ko maan gayi hai ke jis Zaitoon ki Allah ne qisam uthai hai woh aaj duniya kab_htrin anti biotic aur antiseptic yani is se bara jaraseem kash koi aur lotion nahi  ho  sakta .


Hum jab sotay hain to hamaray ghizai zarraat mutaffan hokar jaraseem bacteria aur virus ki shakal ikhtiyar kar lete hain yahi jaraseem jism ki khatarnaak bimarion aur pareshaniyon mein mubtala honay ka zareya bantay hain aur un Germs  ki wajah se jism terhan terhan ki khatarnaak bimarion mein mubtala hojata hai aur yeh bemariyan insani jism ko itna nidhaal kardeti hain ke ensaan ko ehsas bhi nahi hota ke meri bemari ki asal bunyaad kya hai halaank is ki bemari ki asal bunyaad daant hotay hain aur danoton ki nighdasht nahi hoti. barray barray samajh daar log is pehlu ki taraf koi tavajja nahi karte.



Mein aik akhbaari duniya ke nihayat mashhoor colum nigaar se un ki ilaaj mualjay ke silsilay mein guftagu kar raha tha. unhon ne be sakhta jaib se note nikala aur is ko danoton ki taraf le jany lagey shayad khanay ke baad un ke teeth main koi khoraak ka zarra atkaa howa hoga' mein ne un ka haath wahein pakar liya aur bohat pyar se un ke haath se bees rupay ka note le liya aur un ki jaib mein daal diya aur mere qareeb aik khalal toth pick para tha woh mein ne inhen day diya ke is note ko terhan terhan ke haath aur terhan terhan ke mahol se guzarna hota hai aur is mein bohat taaqatwar jaraseem hotay hain. meri baat par woh sahib choank parre kehnay lagey oh! mein ne khayaal hi nhinkya' mere samnay koi kaghaz para ho' note ho mein isi se guzaraa karleta hon. namaloom mujhe kya sojhi. ..! 



Mainay  un ke tamam daant check kiye halaank mein Dental Surgeon nahi hon lekin mein ne kuch thori si tib parhi hai aur tib ki kutub taleef ki hain to mein ne un se kaha aap ke dil ki bemari ki bunyadi wajah aap ke sirf daant hain' jin se peep ras ras kar aap ko dil ka aur maiday ka mareez  bana diya hai. woh meri taraf jin nigahon se dekhnay lagey woh nigahain mutanazia theen un mein herat bhi thi aur hiqarat bhi. .. kyunkay woh is se pehlay androon beron malik barray barray doctoron se mulaqaat kar chukay they. mein un ki aankhon se herat aur hiqarat ko bhaanp gaya. mein ne kaha theek hai! aap ko meri baat samajh nahi aayi aap kuch arsa ke liye meri sirf do baatein Azmayen. agar afaqa hojaye to theek warna aap ki herat to be ja nah hogi lekin hiqarat burii hogi .



Woh kehnay lagey! kya baat? inhen yahi do cheeze har khanay ke baad khalal aur sotay waqt chand qatray Zaitoon ke tail ke mun mein daal kar zabaan se is se mil len aur sojayein jin logon ne yeh ٹوٹکہ kya un ke aur khud mere apne mshahdat bohat wasee hain ke yeh danoton ka khalal ours olive oil ke chand qatray mandarja zail bimarion se bachatey hain agar kisi ko shak hai to meri tehreer parhnay ke baad kuch arsa kere zaroor. .. kuch arsa agar nah kya to phir is ka shikwah be ja hoga .


1 comment: