Gharelu Totkay And Tips - Gharelu Ilaj- Eyes Problems - Skin Disease - Stomach Problems - Qabz - Weight Loss Tips .
Sunday, 15 March 2015
Zindagi Bhar Chehray Per Baal Na Aye
Buhut Say logo keh chehray per baal hotay hain jo badnuma nazar atay hain ,khas kar kuch larkiyon keh tau chehray per darhi jese baal bhi ugtay hain .yeh tip jo bata raha ho sirf chehray hi nahi balkay sar say bhi baal uraye ja saktay hain .Wese tau Ganja Pan kisi ko acha nahi lagta aur ziada tar log ganja pan ko door karnay ka tips talash kartay hain lekin buhut say log aisay bhi hain jinko ziada baal honay ka bhi masla hosakta hay ,zaroor nahi hay keh sir keh baal hi ..Buhut say logo keh chehray per baal bhi hotay hain jis say chehra badnuma lagta hay aur khaas kar un larkiyoon ko jinkeh chehray per darhi numa baal numaya hotay hain aur isi tarha buhut say logo ki gardan wagera aur dosri jaga per yeh masla hota hay .Iskeh liye yeh nuskha jo bata raha hoon , Yeh sanyasiyoon aur sadho ka nuskha buhut hi qeemti hain aur sadiyoon say yeh in main azmaya hua hay jaha woh zaroori maqamaat say apnay baal ura dete hain aur umar bhar dobara say waha baal kabhi nahi ugtay.
Dhaak ki Lakri lain aur isay rakh bana lain aur pani main yeh rakh mila kar us jagah per malian jaha say appko baal urana matloob hoo ,including face or whatever,is tarha baal murda hojaye ge aur phir isay app kisi bhi cheez keh zariye ukhaar dain . Phir oont ki maingniyan (stool) lay lain aur jala kar raakh bana lain aur isay sirkay main mila kar laip bana lain aur usi jaga per malain .Baal ugna band hojayen gain . Is formulay main thori si karahat hay magar rakh ki howi stool lagani hay ,magar yeh bhi tau sochain keh yeh eik azmooda amal hay salo saal say chalta hua a raha hay.Kuch logo keh phir bhi asani say baal ugna band nahi hotay aur dobara nikal atay hain ,iskeh liye 4 ,5 martaba yeh amal dohraye .Is tarha woh jaga aisay saaf hojaye ghi jese kabhi waha baal ugay hi na hoo..
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Dhaak kya hai? Uska koe dosra naam?
ReplyDeleteHi . Jis tarha bargad ka darakht hota hay , isi tarha dhaak ki lakri ki bhi eik qisam hay aur yeh common hay .. Kisi bhi pinsari ki dukaan per jakar unsay maloom karain , woh bata dega aur yeh aram say jari botio ki shop per mil jaye gi ..
DeleteJazaakAllah khair
ReplyDeleteKitne minutes k liye lagani haiN dono chezaiN
ReplyDeleteBoht acha nuskha lgta hai
ReplyDelete