Gharelu Totkay And Tips - Gharelu Ilaj- Eyes Problems - Skin Disease - Stomach Problems - Qabz - Weight Loss Tips .
Monday, 15 September 2014
Aurat Jawan Aur Kanwari Lagay
Wese tau har insan ki khawahish hoti hay keh woh khoobsurat nazar ae aur sath sath barhti howi age keh sath bhi woh boorha nahi balkeh jawan hi nazar ae aur is keh liye log buhut kuch kartay hain jese dieting aur khoorak wagera main ehtiat aur ajj kal keh daur main tau logo ka ziada ruhjan is taraf hogaya hay ..Sirf aurtain hi nahi chahti keh woh jawan aur khoobsurat nazar ae balkeh mard bhi chahtay hain keh woh bari umar tak jawan nazar ae , magar aurat ki yeh khawahish Admi say kahi guna ziada hoti hay isliye khas kar larkion keh liye yeh tip bata raha hoon , jis main na tau app ko lambi planing aur khorak main ehtiat ki zaroorat paray ghi aur na hi lamba kharcha hoga . Yeh Eik Aisa behtreen aur Purana totka hay jo saloon say puranay log istemal kartay a rahay hain .. Yeh aurat kay liye khas kar hota hay .. Buhut hi asan sa tareeka hay agar appko dhak ka Darakht mil jae tau . Iskay liye app dhaak kay darakht ki buhut si konpal lay lain aur isay saye main sukha kar achi tarha khushk karlain aur phir isay koot kar iska safoof bana lain . Phir is main hamwazan cheeni mila lain aur mehfooz karlain . Eik tola 9 masha iski khorak har subah nihar munh Aurat ko khanay ko dain .. Aurat aisi ban jae gi jese woh abhi kanwari aur bakra hay . Iskay ilawa kuch tips per amal kiya jaye tau admi ya aurat hamesha smart aur jawan nazar ayen ge.Yeh baat bhi jaan lena zaroori hay keh healthy honay ka taluq jawan nazar anay say nahi hay.
1. Waqt per sona aur othna aur neend pori karna buhut eham hay lekin ziada sona bhi theek nahi , isliye 8 hours ki neend pori karni chahiye aur raat ko sona aur subah time per uthna chahiye .. Buhut say logo ko 6 hours ki neend bhi kafi hoti hay.
2 . Exercise har insan kay liye zaroori hay , mind aur body dono kay liye . Jo log ziada office work kartay hain ya computer per kaam kartay hain unhay koi activity karni chahiye ..Zaroor nahi hay keh app jim join karay.Agar app keh pass ziada time nahi hota tau haftay main 3 ,4 dafa half hour kay liye taiz walk karain , kisi khuli jagah per jese parks .
3 . Water is very good for your healthy life ..Pani ka ziada peena wese hi acha hay magar kidney kay liye bhi acha hay aur jisam kay andar say sugar aur harmful materials ko nikaal deta hay ..Lekin nihaar munh pani ka istemaal karna sonay per suhaga hay , ya phir har meal say pehle pani piyen .
4 .. Chikni aur ziada oily dishes ka istemaal wese hi nuqsan deta hay aur iska sub say bara nuqsan yeh hay keh yeh aging process ko barhata hay aur admi mota aur bara lagna shuru hojata hay..Lekin desi ghee jo real main desi ghee hi ho , woh nuqsan deh nahi hay ,lekin phir bhi fat ka ziada istemal nuqsan deh hota hay.
5 . Isi tarha sub say bara zeher Sugar hay , Sugar ka na sirf ziada istemal nuqsan deh hota hay balkeh thori si quantity main bhi white sugar ko eik zeher qarar diya gaya hay ..Isliye brown sugar use karni chahiye ,lekin ziada carbohydrates ka istemal bhi aging process ko barhata hay .. Isi tarha white floor , maida ya safaid chapati ka atta koi bhi ho sub aging process ko taiz kartay hain ..Brown bread ya brown ata jese gandum ka atta anti aging hay aur health kay liye bhi acha hay ..Isliye apni diet say har kisam kay white floor ko nikalna zaroori hay.. But unfortunately , ziada tar bakery items , sweets wagera in sub cheezon say banti hay ..Isliye app yeh soch rahay hongay keh choro hum aisay hi sahi hay.
6 .. Vegetables ka istemal tau wese hi buhut acha hay lekin agar apni diet main vegetable aur fruits rakhay jaye tau app hamesha young nazar a saktay hain. Khas kar citrus fruits jo anti oxidant hotay hain aur app kay face kay liye bhi buhut achay hain .. Jese Pomegranate , mosambi ya orange , grey fruit , lemon etc ..Vitamin C walay fruits buhut achay hain aur vegetables main green jese lettuce , reddish aur dosri green vegetables buhut achi hain..
7 .. Eik akhir eham aur sub say important baat yeh keh ziada khanay say koi bhi young nahi lagta ,balkeh kum say kum khanay wala hamesha smart aur jawan nazar a sakta hay aur yeh guarantee hay meri.. Agar app month main 10 din bhi roza rakhain tau apko farq khud pata chal jaye ga . Baray buzurgo ka qaul hay keh kum khana hi sehat hay..Lekin main yeh nahi kaho ga keh aap bhokay rahain magar bhook keh ilawa faltoo bhi nahi khaye.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment