Sar ke dard ki kahi kisam hoti hain kabhi tau yeh dard poray sir main hota hay aur kabhi sir kay kisi hissay main dard rehta hay .kuch conditions main matli aur vomitings bhi hoti hay.
1 . sar dard horaha ho tau
eik chutki salt
zaban per rakh lena chahiye
aur 10 minute ke baad eik glass thanda pani pi lain. Sir ka dard door hojae ga.
2. babool ke phool , dhania,
kaddoo kay beej har eik 10 masha le kar bareek safoos bana lain... 3
gram yeh safoos pani keh sath din main
do baar use karain.
3 . piyaaz ko khoob bareek koot lain, achi tarha bareek hojane per paon ke talwon per laip karain. is say har
kisam ka sir dard khatam hojata he.
4. taza kadoo le kar uska goda
nikal lain aur zaroorat ke hisaab se
grinder ya silwatay main bareek
karlain aur peshani per phairain.thori dair main sir ka dard khatam hojae ga.
5 . balchar (Valeriana officinalis
) 6 masha, daar cheeni 6 masha , sonth 6 masha = (0.5 tola) ,sub ko 120 ml pani main boil karlain aur chaan kar shakar se meetha karlain .subah
khali pait pi lain, daemi sir dard ke liye behtreen totka hay.
6. kafoor 500 mg , sonf 2 gram
dono ko alag alag bareek pees lain aur mila kar saaf sheeshi main rakh lain aur
achi tarha say band kardain..jub sar
dard ho tau soong lia karain.
7 . Onion lain aur isay sil per pees lain aur phir Paon keh talwo per iska laip kijiye ..Ya phir naswar ki manind pisa hua namak soong lain , Jaldi aram ajaye ga ..
Adhay Sir ka Dard ( dard-e - shaqiqa) :
Yeh dard dooraun ki shakal main
hota hay jo aam taur per sir ke kisi eik janib hota hay aur kabhi yeh
poray sir main phail jata hay.. is dard ke hamlay ki middat kuch minutes se lay kar kahi din
tak hosakti hay. aur iske sath
matli aur vomiting ki shikayat bhi hoti
hay.
1. 7 danay
surkh mirch lekar isko pakay howe
10 tola ghee main daal kar jala
lain..Paishani aur kanpatio per per
is tail
ki malish karain ..adhay sir dard ke liye behtreen cheez hay.
2 . leemo kay chilkay lay lain aur
isay isay koot pees kar sir aur peeshani per malnay se adhay sir ka
dard door hojata hay.
3 .. naak ke
opposite simt ,yani jis
hissay main sir ka dard ho us ke
opposite wala naak kay nathay main
eik qatra honay tapkaen ..adhay sir ka dard khatam hojae gha.
4 . zara sa lehsan (garlic) pees
lain aur jiss aur jis
simmat main dard ho us simmat ki kanpatti per laip kardain ..Agar is
pisay howe lehsan main zara sa shehad
mila kar laip karain tau faida double
hoga.
Sir Chakrana :
1 . garam pani main
eik lemo nichor kar peene
say jigar ki garbar ki waja se jo sir chakrata hay woh door hojata hay.
2 . mehendi ke beej 4 gram, honey
10 gram, mehendi ke beej ka bareek safoof
banaye aur shehad main mila kar chatni bana lain . Din main 2 baar
khaye.
3. imli ka goda 25 gram, cheeni 6 gram, goday ko 120 mili litre pani main
eik ghantay tak bhigoye aur iske baad achi tarha pani main nathar lain aur is main thori shakar mila lain .din
main 2 baar use karain.
Mere sar k Right side may taqreban 1 Haftay say Dard Rehta Hay jo Bohat shaded hy koi totka Batien shokria.
ReplyDeletesalaam
ReplyDeleteGharelo Health Tips web site ka email address bata de. agar kuch poochna hai kaise pooche.
regards
Mere adhe sar me dard rehta hai Jo bina tablet ke band nahi hota 10 saal se hai koi behtar ilaaz bataye
ReplyDeleteMere Ear Band Hoty hy or kabhi open kiya waja hy kuch bata sakty hy
ReplyDelete