Wednesday 2 April 2014

Weight Loss Kay liye Easy Tips



 Motapa   bhi  eik  bimari  hay  aur  agar isay  control na kiye  jae khatranak bhi sabit ho sakta hay aur  heart ki veins bhi  block hosakti hay  ziada  fat  jama hone ki waja say.Ajj kal kay  masroof  daur main jahan kafi  facilities agayi hain  aur  khanay  main  ehtiat na karnay ki waja say bhi  wazan  barh  jata hay.Aur  sirf yehi nahe  balkeh hamaray roz kay kaam jo pehle  kay log  paidal chal kar kia kartay thay,ab  bike ,cars  ki wajah  say  paidal chalna bilkul khatam hogaya hay..Lekin phir bhi  har insan apne apko  smart rakhna chahta hay  aur khaas kar ajkal keh daur main  har kisi ko apni fitness ki buhut  fikar hoti hay.Lekin  sub  say  bara  masla  apni  healthy  diet  per control  karna  buhut mushkil hojata hay , aur buhut  say motay  log  mayoos bhi hojatay hain jub  woh apni diet per kafi  time control karnay  aur  walking  ya exercise karnay kay  baad  bhi apna  weight control ya kum karnay main kamyaab nahi hote.Basically  is ki  koi na koi  wajah hoti hay aur kuch app ki routine main  aisi cheez hoti hay jiski waja say apka weight kam nahi hosakta.Yeh  bhi haqiqat hay keh kuch  bimariyan bhi hoti hain jis main  body  ziada weight gain karti hay aur sari mehnat keh baad bhi  wazan kum nahi  hota ,lekin aisa buhut  hi  minor  conditions main hota hay.Body ko Average  daily  2000  say 2500  calories ki  zaroorat hoti hay.


                            Three thousand five hundred calories  1 pound  fat banati hay .Ab yeh  simple si  logic hay  keh agar  appki diet main say rozana 500  calories minus hojaye, for  example  eik din ki  500 X 7 days week tau eik  haftay main apka wazan  1 pound  aram say  kum hojaye ga.Aur agar app apni zaroorat say  ziada calories lay rahay hain  jokeh 2500  tak hay  aur  apki calories 2000 kay  hisaab say burn hoti hay  tau yaqinan  apkay weight main izafa hoga.Yehi  wajah hay  keh weight kum karna  buhut mushkil hota hay.Rozana 500  calories kum karna  koi asan kaam nahi hota aur yaqinan is main apko fat wali  diets ko leave karna hoga ,kyunkeh  fat main sub say high amount calories mojood hoti hay aur  agar  40 gram fat bhi diet main ajaye tau 1200 calories hojati hay ,lekin unfortunately  ajjkal fast food ,junk foods hamari hamari adat hogayi hay.Yahan per main  Weight lose karnay kay liye kuch tips bata deta hoon ,jokeh app ko exercise  aur diet per control  karnay keh  baad  kafi helpful  sabit hogi.


1 . Pani  ka  istemal  ziada say  ziada karain , buhut say log  pani ka istemal na honay kay barabar kartay hain ,jiski wajah say  na sirf  weight gain hone ka masla hota hay  balkeh  dosri problems bhi hosakti hay jese  kidney stones ,pathri  wagera.Subah  nihaar monh uth kar  teen glass pani piye,is say appko wazan kam karnay main  kafi help milay ghi.



2. Junk  foods ,fast food  wagera jiskeh  baray may bata chukay hoon us say ziada say ziada  ehtiat karain,agar motay log patla hona chahtay hain tau.Cold drinks aur soda water  aur bazaar kay juice  wagera bhi  band karain kyunkeh is main  sugar bhi ziada hoti hay aur  un natural chemical substance shamil hote hain jiski  waja say weight barhta hay.Natural lemon juice,orange juice,pomengrate  juice  wagera  lain.




3. Vegetables  aur  fruits  ka  istemal  barha  dain  aur  junk foods wagera jis main  oil  aur ghee ziada hota hay uska  istemal kam kartay jayen.



4. Green  Tea  eik behtreen totka  hay  wazan kam karne kay liye..Green tea ka istemal  kafi salo say hota araha hay  wazan kam karnay kay liye,kyunkeh yeh na sirf fat ko burn karti hay  balkeh sugar ko bhi control karti hay ,sath main iskeh  antiaging  advantages  bhi buhut hain.Green tea  ki alag alag types hoti hain lekin faida har kisi main hota hay.Kuch types ki  green tea  buhut hi ziada faiday mand hoti hay  aur kuch  thori low quality ki hoti hain.China main green  tea  ki buhut  si alag alag  kismain payi jati hain.



       Eik  natural  substance   ,jisko  green  coffee  bean  kehte  hain . Yeh  green  coffee  bean  weight  loss kay  liye  sub  say  ziada   fast  kaam  karnay  wali  natural  supplement  hay , jo  buhut hi  taizi  say   extra   fat  ko burn  karti hay ,jokeh  normal  dieting  aur  exercise  kay  muqablay  main   5  guna  ziada  fast   hay ..Kyunkeh   wazan  kam  karnay  kay  liye  kafi  mehnat  aur  koshish karni  parhti hay , lekin  yeh  kaam  pure  green  coffee  extract  buhut    taizi  say  karti  hay . Green  coffee  beans  kay  results  say  researchers   bhi  kafi  hairan  hogaye  ,jub  unho  nay   16  mukhtalif  logo  per  iskay  tajarbay  kiye  aur  unki  diet  main  bagair  kuch  changes  kay   sirf  3  months  kay  ander   buhut  hi  ziada  faraq   dekha  gaya..Study  kay   mutabiq   Pure   green   coffee  extract  Chlorogenic acid  hota  hay  aur  yeh  na  sirf   fat  ko  taizi   say   burn karta hay  balkeh  body  main mojood  sugar  kay  level  ko  bhi  control  karta hay ,jis  say  sugar  ziada  lene  ki  talab main   kami  ajati hay. Is  natural  compound main  green  tea   ki  tarha  powerful  antioxidant  bhi  paye  jatay  hain  jokeh  barhti  howi  age  kay  liye  buhut  mufeed  sabit  hote hain  aur   yeh  eik  anti-aging  compotent  bhi  hay  . Research  say   yeh   baat  bhi  samnay  ayi  hay  keh   jo   faida   pure   coffee  bean  extract  ko  diet   main   shamil  karnay  say  hota  hay   woh  weight  loss  kay  dosre   plan    say  nahi  hota. Green  coffe  extract   ajjkal  mukhtalif  medicines main  bhi use  hota  hay  aur iskay  buhut  se  supplements bhi miltay hain..  





No comments:

Post a Comment