1. kala namak zaroorat ke hisaab se le kar bareek pees lain . 50 mg halkay garam pani keh sath 2 dafa khanay keh baad khayen.
2. Zara sa ghur lijiye , aur kuch mirchon keh beej nikaal kar dono ko eik sath mila lain aur thora thora karkay kha lain , kuch hi dair main maiday keh dard main aram ajae gha.
3. Sonf , Ajwine , Black salt , hamwazan lekar bareek safoof bana lain .. 1 gram halkay garam pani keh sath din main 2 baar ghiza keh baad khayen .. dard ko aram ajaye gha.
4. Zara sa namak khaye. Aur upper se garam pani ka eik glass pi lijiye. Stomach pain main faida hoga.
5. Stomach main jub hawa jama hokar pait pholnay lagay long ka safoof 10 ratti kholta howa pani 50 tola ,jub pori tarha se bheeg jae tau chaan lain aur rozana dhayi (2.5) tola istemaal karain..
6. Podina ,choti ilaichi keh danay, sonf , har eik 1 ,1 gram 120 mili litre pani main josh day kar chaan lain.. Din main 1 ya 2 baar lain ,dard main araam aega. Aur yeh bacho keh liye ziada mufeed hay.
7. noshadar 4 gram , sonth 6 gram , khanay ka soda 4 gram .Pehli 2 dawaaon ko bareek pees kar us main soda milain. 500 ml water keh sath din main 2 , 3 baar khayen.
8 . anaar kay danay nikaal lain … namak aur kali mirch peesi howi chiraak kar anaar ka rus choos lain .. Maiday kar dard fooran door hojae gha . Jinhain bhook na lagti hoo .. Jinko bhook na lagti hoo woh isi tarha subha keh waqt istemal karain.
9. ilaichi keh beej , sonf aur zeera in sub ko barabar wazan main lekar sub eik eik tola bhoon lain.. Aur khanay keh baad har baar chaye keh chamchay bhar khayen..hazmay keh liye behtreen hay.
10 . Pait main bhari paan khas kar khanay keh baad mehsoos hota hay. Bhook kum lagti hay.. Badboo daar dakarain ya matli , aphara aur vomiting hoti hay aur yeh aam taur per ghalat kisam ki khorak se hota hay jese ziada masalay daar cheezo ki waja say hota hay aur hazma kamzoor hojata hay.. Iskay liye Ajwine , kala namak barabar wazan lay kar pees lain aur is main barabaar quantity main lemon juice mila kar golia bana lain.. 2 golian din main 2 baar khanay keh baad lain …Haazmay ki shikayat door hojae ghi..
11.. long 3 gram
, sang dana murgh 12 gram
bareek safoos bana lain… 1 gram
pani keh sath
din main 2 baar
ghiza keh baad
lain.
12 . Ajwine 12
gram , namak 6 gram ..ajwine ko
sirkay main 24 ghantay keh liye bhigo dain aur phir
sukha lain aur namak keh sath bareek pees lain..1 gram
pani keh sath din main 2 baar
ghiza keh sath lain.
13. Agar piyaaz
ki ziadti ho tau
gul-nilofar 120 ml pani main eik
ghantay tak bhigo kar chaan lain aur thora
thora din main kahi baar piyen.
14..Pani ko boil
karlain aur boil karne keh doraan
kuch long dal lain .. aur
is pani ko tanbay( copper) keh bartan main
rakh dijiye aur thanda honay per pijiye.. Eik do din
main piyaas ki ziadti keh liye mufeed
hay..
15 . kadoo ka ghoda bareek pees kar eik chatang pani nichoor lain.. Is main 2 tola misri aur eik
pao sada pani milain…2 tola khoraak thoray
waqfay se pilatay rahain.
Pait Ke Keeray :
1. Adha sair gajar ka rus rozana peene say pait ke keeray nikal jatay hain aur yehi faida subha khali pait gajar kha lainay se hota hay. Jo log yeh samajtay hain keh unko gajar hazam nahi hoti who juice pi liya karain.
2. karailay ka chilka 30 gram , yoghurt 60 gram ..Karailay ka opri chilka cheel kar sukha lain aur bareek pees kar dahi main mila lain. Sotay waqt kha lain.
3. Anar kay darakht ki jar lo chaal , zaroorat keh hisaab se saye main sukha kar safoos bana lain.. 3 gram pani keh sath sotay waqt khayen.
4. raat ko muthi bhar chanay sirkay main bhigo dain aur yeh channay subha nihaar munh kha lain. Aur koi dosri ghiza dopeher tak na khayen…Eik hi baar khanay say pait kay keeray mar jayen ghay.
5. Pait ke keeray kahi kisam ke hotay hain ..Amm taur per is main pait barha howa hota hay ..Khali pait main dard ,bhook ki ziadti aur neend main baichaini hoti hay.Mareez neend main daant peseta hay aur munh se raal tapakti hay..poti ki jaga kharish hoti hay aur mareez kamzoor aur chirchira hojata hay.

No comments:
Post a Comment