1. Haldi ek tola piss ker ek seer pani main dal ker josh dain jab josh a jaye to uttar ker serv ker lain.Is pani se subah sham garare kare.Is se halq,taloo or zaban ke chaale door ho jate hain.
2. Mooli ka pani ek paoo,saf pani ek paoo,munasib namak khordani mila ker grara kare halq ke waram ke liye faidemand hai.
3. Din main 3 martaba ek bara chamcha honey ka chat liya kare gale ki suzish door kerne k liye behad mufeed hain.
Honton ka phatna:
1. Moom 2 gram,narial ka tail 12 gram,tail ko garam ker ke moum mila ker rakh lain.din main 2 ya 3 mertaba honton per lagaye.
2. Rogan-e-gul honton per lagayen.
Monh ke chale:
Mouth ke ander chote chote zakham ho jate hain jin main jalan or derd hota hain .
1. do tola suhaga or ek tola glayserin suhaga piss ker ek jitna mila lain or ise pandra tona honey main mix ker lain.ise chalon ya zakhmo per laga lain to who buht jald durust ho jaye ghe.
2 . Chambeli k taza leaf ya amrood ke taza leaf 25 gram,250 mile litre pani main josh de ker chan lain.is pani se din main 2 dafa kuli kare.
3. Narial ka tail din main 2 ya 3 dafa moun main lagaye.
4 . Ispaghol hasbe zaroorat chote se saf kapre main bandh ker pani main 5 minute bhegoyen or ahista se zaban per malain.
5. Bargh e Gaon zaban , ilaichi ke danay , dono hamwazan lay lain , aur bargh e gao zaban ko jhala lain aur elaichi ko pees lain . aur dono ko mila lain, zaban per din main do teen martaba chirkain.
6 . Kafoor aur katha lay lain aur isay pees kar din main 2 ya 3 martaba chalo per lagaen .
7. Sabz dhania lijiye aur iska rus nikal lain aur din main 3, 4 martaba isay chaloon per lagaen.
Moonh ki badbo :
1. Yeh bimari amm taur per qabz ki waja se hoti hay, aur kabhi kabhi dantoon main keera lagnay ya dantoon ki achay tareeqay se safai na karne ki waja se hoti he.
2. din main 2,3 martaba sonf chabaen aur iska arq pi lain, kuch dino main appke monh se badboo ki bajae khusboo ane lage ghi.
3. Lemon ka juice 25 ml , 120 ml water main mila lain, aur din mai 2 baar gararain karain.
bhai mujhe piles KI shikayat h plz perfect solution bataye
ReplyDeleteMounh k talu ma zakhm ho tw us ka elaj batain
ReplyDeleteZuban k niche dard ho kia krein . Danto k b halka halka dard h.
ReplyDeletezuban nikal wa do
DeleteDanto mai dard hota h bar bar.
ReplyDeletetobaco gutka nahi khaya karo na
Delete