Friday 7 March 2014

Kaan Ki Bimariyan ( Ear Problems)





Kaan  ka  dard ziada  garmi ya  ziada sardi  ya kaan main phoray ,phansi ki waja se hota hay. Is kay liye kuch achi tips  hazir hain.




1 .  Adrak  ka ras 4 gram , honey 2 gram , namak eik ratti , till ka tail 2 gram , pehle namak aur adrak mila lain aur phir baqi sab mila lain aur achi tarha  hilayen  aur thora sa garam karke 7,8 drops  kaan  main dalain, kaan ka dard band hojae ga.


2 .   moli kay taza pattay zaroraat kay hisaab se lain - In patto  se 180 ml  ras nikalain. Is main 60 ml till ka tail (sesame oil)  mila kar  itna pakaye  keh pani urh kar khali tail reh jae, 2 drops  halka garam  kaan main dalain.kaan ke dard ke liye zabardast totka he.


3 . kaan main  agar pani parh jae tau koe medicine use na karain  balkeh ultay pao chalain is  se  kaan se pani nikal jae ga.


4 .  Rogan-e-gul aur  sirka  barabar miqdaar main paka kar kanoo main dalain. kaan ka dard fooran khatam hojae ga.


5 . Safaid  piyaaz  ka  arq   aur  murgi kay  anday ki zardi  dono  ham-wazan lay lain aur inkay  kuch  qatray  kaan main dalain. dard ko  buhut faida hoga.


6 .  kaan  say peep ata ho  tau  khattay angoor kay  rus ko agg per rakh kar paka lain..jub garha hojae  tau  kisi  choray  munh  ki  shishi  main mehfooz  karlain.Zaroraat keh  waqt  dugnay  shehad main  huul  karkay  aur neem  garam karkay kaan main dalain..kuch  din main  peep  ana band hojae gha.





11 comments:

  1. kaan anytime awaj ana jaise ki shaam mein jinghur bolta hai iska kya ilaaz hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. Appka msg para mereko bhi asise dono kaan mei hai kya aapko koi doctor ya dawai mili

      Delete
    2. Asalma o alaikum sir
      Mje bi yhi awz aa rahi hai kuch arse sa..or awz k sat sat ghabrat si b hone lag jate hai.or dhundla sa nazar aane lgta hai or pairo mai jalan wekns bhi hone lage hai ab..Please koi ilaj ya koi tips ho tu btye is problem na bht preshab kia hai kafi time sa..mai apk reply ka wait kar raha ho sir please hlp me..jazka ALLAH

      Delete
  2. aslam sar mera nam hai mahboob umar 26 sal hai mery kan sey 5 sal sey awaz a rahi hai dacdar ko bhot bar chek karwya bhot dawa khayi leken koi faida nai huwa akhar kiya ilaj hai ais ka bhot parshan kar rakha hai ais marz ney

    ReplyDelete
  3. aslam sar mera nam hai mahboob umar 26 sal hai mery kan sey 5 sal sey awaz a rahi hai dacdar ko bhot bar chek karwya bhot dawa khayi leken koi faida nai huwa akhar kiya ilaj hai ais ka bhot parshan kar rakha hai ais marz ney

    ReplyDelete
  4. Sir mera name dhiru hai mere kaan me San San kinawaj ATI hai jaise rat ko jhingur bolta hai mujhe 2 mahine SE ye problem hai dawa kha raha hu lekin jara SA bhi relax NAHI hai sath me sunai bhi kam deta hai plz kuch ilaj bataiye

    ReplyDelete
    Replies
    1. Bro yhi same awz mje b pora din ati rheti hai kfi time sa yar koi tips ya elaj mla Is awz ko khtm krne klye..Please hlp me

      Delete
  5. Bhai log ap mazak samjo ge per haqeqat mein ye awaze maditetion se ati hai sadhu log ya jo log telepathi k bare mein jante hain wo samj sakte hain apko kia msla hai .sadhu log lambe arse tak maraqba kar k apni third eye open karte hain jis se unki dekhne or sunne ki slahiyat barh jati hai .ham jo bolte hain jo b awaze nikalte hain ye mun se nikalne k bad khtam nae hoti inki frecuncy kam hojati hai mager wo awaze hamesha mujod rehti hain.jab kan ki sunne ki slahiyat barh jae tu wo irdgird mojod halki frecuncy b pik karne lag jata hai ager parctice ki jae tu ye jhenger numa awaz clear hokar saf sunaai degi jo insano ki bat cheet ki awaze ho sakti hain jo guzre waqat mein hoe ho .kheir ap k lye ye bilkul alag or ajeb topic hai islye behter hain zehan per zor mat dijye or iska hal ye hai k subha subha thora kisi pursakon jagha pe beth kar ankhe band kar k apne ap se ye kahiye k mujhe ye awaz mat aya kare 2,3-din mein apka lashaur zehan apka order pik karlega or apk kan normal hojaege.or ek bat ye bimari nae hai

    ReplyDelete
  6. Kaan se khoon ane ka kya matlab ha 1 kan se km or 1 me se Zyada....tell me plzzz

    ReplyDelete
  7. MarY dono kan main masla hy jaisy kan ki hadiyon main koi kharabi hy.khana khaty ya pani wagara
    pety waqt awaz ati hy jasy hadi ky sath hadi ka koi masala ho.

    ReplyDelete
  8. bhai meri walda ki Sun ne ki slahiyat kam ho gayee hai agar iska koi Hal hoto btao pls

    ReplyDelete