Kaan ka dard ziada garmi ya ziada sardi ya kaan main phoray ,phansi ki waja se hota hay. Is kay liye kuch achi tips hazir hain.
1 . Adrak ka ras 4 gram , honey 2 gram , namak eik ratti , till ka tail 2 gram , pehle namak aur adrak mila lain aur phir baqi sab mila lain aur achi tarha hilayen aur thora sa garam karke 7,8 drops kaan main dalain, kaan ka dard band hojae ga.
2 . moli kay taza pattay zaroraat kay hisaab se lain - In patto se 180 ml ras nikalain. Is main 60 ml till ka tail (sesame oil) mila kar itna pakaye keh pani urh kar khali tail reh jae, 2 drops halka garam kaan main dalain.kaan ke dard ke liye zabardast totka he.
3 . kaan main agar pani parh jae tau koe medicine use na karain balkeh ultay pao chalain is se kaan se pani nikal jae ga.
4 . Rogan-e-gul aur sirka barabar miqdaar main paka kar kanoo main dalain. kaan ka dard fooran khatam hojae ga.
5 . Safaid piyaaz ka arq aur murgi kay anday ki zardi dono ham-wazan lay lain aur inkay kuch qatray kaan main dalain. dard ko buhut faida hoga.
6 . kaan say peep ata ho tau khattay angoor kay rus ko agg per rakh kar paka lain..jub garha hojae tau kisi choray munh ki shishi main mehfooz karlain.Zaroraat keh waqt dugnay shehad main huul karkay aur neem garam karkay kaan main dalain..kuch din main peep ana band hojae gha.
kaan anytime awaj ana jaise ki shaam mein jinghur bolta hai iska kya ilaaz hai
ReplyDeleteAppka msg para mereko bhi asise dono kaan mei hai kya aapko koi doctor ya dawai mili
DeleteAsalma o alaikum sir
DeleteMje bi yhi awz aa rahi hai kuch arse sa..or awz k sat sat ghabrat si b hone lag jate hai.or dhundla sa nazar aane lgta hai or pairo mai jalan wekns bhi hone lage hai ab..Please koi ilaj ya koi tips ho tu btye is problem na bht preshab kia hai kafi time sa..mai apk reply ka wait kar raha ho sir please hlp me..jazka ALLAH
aslam sar mera nam hai mahboob umar 26 sal hai mery kan sey 5 sal sey awaz a rahi hai dacdar ko bhot bar chek karwya bhot dawa khayi leken koi faida nai huwa akhar kiya ilaj hai ais ka bhot parshan kar rakha hai ais marz ney
ReplyDeleteaslam sar mera nam hai mahboob umar 26 sal hai mery kan sey 5 sal sey awaz a rahi hai dacdar ko bhot bar chek karwya bhot dawa khayi leken koi faida nai huwa akhar kiya ilaj hai ais ka bhot parshan kar rakha hai ais marz ney
ReplyDeleteSir mera name dhiru hai mere kaan me San San kinawaj ATI hai jaise rat ko jhingur bolta hai mujhe 2 mahine SE ye problem hai dawa kha raha hu lekin jara SA bhi relax NAHI hai sath me sunai bhi kam deta hai plz kuch ilaj bataiye
ReplyDeleteBro yhi same awz mje b pora din ati rheti hai kfi time sa yar koi tips ya elaj mla Is awz ko khtm krne klye..Please hlp me
DeleteBhai log ap mazak samjo ge per haqeqat mein ye awaze maditetion se ati hai sadhu log ya jo log telepathi k bare mein jante hain wo samj sakte hain apko kia msla hai .sadhu log lambe arse tak maraqba kar k apni third eye open karte hain jis se unki dekhne or sunne ki slahiyat barh jati hai .ham jo bolte hain jo b awaze nikalte hain ye mun se nikalne k bad khtam nae hoti inki frecuncy kam hojati hai mager wo awaze hamesha mujod rehti hain.jab kan ki sunne ki slahiyat barh jae tu wo irdgird mojod halki frecuncy b pik karne lag jata hai ager parctice ki jae tu ye jhenger numa awaz clear hokar saf sunaai degi jo insano ki bat cheet ki awaze ho sakti hain jo guzre waqat mein hoe ho .kheir ap k lye ye bilkul alag or ajeb topic hai islye behter hain zehan per zor mat dijye or iska hal ye hai k subha subha thora kisi pursakon jagha pe beth kar ankhe band kar k apne ap se ye kahiye k mujhe ye awaz mat aya kare 2,3-din mein apka lashaur zehan apka order pik karlega or apk kan normal hojaege.or ek bat ye bimari nae hai
ReplyDeleteKaan se khoon ane ka kya matlab ha 1 kan se km or 1 me se Zyada....tell me plzzz
ReplyDeleteMarY dono kan main masla hy jaisy kan ki hadiyon main koi kharabi hy.khana khaty ya pani wagara
ReplyDeletepety waqt awaz ati hy jasy hadi ky sath hadi ka koi masala ho.