Masoorhoon main jub soojan , dard aur surkhi hoti ho aur mareez aur jub mareez dannt ke dard se baichain rehta hoo ,tau yeh formula use karain.
1. Kafoor ,soonf , barabar wazan main lekar bareek pees lain aur masoorhoon aur dantoon per ahista ahista maltay rahain.
2. Darh kay neeche adrak ka tukra le kar chaba lijiye , khoob achi tarha se daba kar rakhain, is tarha sara badi ka aur ganda pani nikalta rahay ga aur dard khatam hojae ga.
3. Agar dantoon ya masoorhon se khoon ata rehta hoon tau iske liye yeh behtree totka bata raha hoon ..Jald shifa mile ghi. Anar ke phool saye (shadow) main sukha kar khoob bareek pees lain. subah aur sham manjan ke tareeqay se dantoon per mala karain. Is say na sirf khoon ana band hojae ga balkeh apke dannt bhi mazboot hojae gain.
4. Agar kachi gajar ka rus rozana eik chatang pil liya jae tau masoorhon aur dantoon ki bimarian asani se paida nahi hogi aur khoon saaf rahay ga.
5. Zara sa honey sirkay main daal is se kulli kiya karain tau masoorhain mazboot hojaen ge aur dant bhi is se kafi mazboot hote hain.
6 . Adrak ka rus nikall lain aur is rus main thora sa namak mila lain.
7 . Zaban main chalay par jaen tau paka kela gaen kay dahi kay sath subah subah use karna chahiye.
No comments:
Post a Comment