Bukhar eik buhut hi common si bimari hay .. Is main amm taur per jisam ka temperature ziada hojata hay .. Sar main dard ,, Saray badan main dard , aur kabhi kabhar khansi aur nazla bhi hota hay .. Wese tau iski buhut si qismain hain aur yeh malaira se lekar dengue tak ka fever bhi hosakta hay , lekin mamoli si tapish agar jisam main barh jaye tau is main pareshani ki baat nahi hoti aur thori buhut pani ki patiyaan rakhnay aur paracetamol se sahi hojata hay .. Lekin yahan per main desi ilaj bata raha hoon .. Yahan per main 3 qisam keh bukhar keh ialj main baray main discuss karonga .
Common Fever :
Is main eik mamoli si kaifiat hoti hay aur jisam main thora dard ,, sar main dard aur kabi khansi nazla bhi saath main hota hay .. Is keh liye mandarja zail totka mufeed hay.
- Tulsi keh taza pattay lein 25 gram , kali mirch 1 gram , dono ko pani main pees kar chanay keh barabar golian bana lain . Ek goli pani keh saath din main 2 baar lain ..Aur yeh Malaria Keh liye bhi kafi mufeed hay .
- Karanju ki giri 6 gram , kapthal 3 gram , dono ka bareek safoof bana lain aur 500 mg din main 3 baar pani keh saath lain .
- Gulu 12 gram, shakkar 2 gm .. Gulu ko ahista se kuchal lain aur 250 ml pani main itna josh dain keh yeh adha reh jaye aur phir chaan kar cheeni se mitha karlain ..Din main 2 baar piyen .
- Neem ki konpal 2 gram 180 ml pani main josh de kar chaan lain aur shakar se mitha karlain aur din main 2 time pi lain .
- Khaksi 2 gram 120 ml pani main josh de kar chaan lain aur din main 2 baar lain .
Normal bukhar kab tk chalta hai?
ReplyDelete