Sunday 15 March 2015

Zindagi Bhar Chehray Per Baal Na Aye


Buhut Say logo keh chehray per baal hotay hain jo badnuma nazar atay hain ,khas kar kuch larkiyon keh tau chehray per darhi jese baal bhi ugtay hain .yeh tip jo bata raha ho  sirf chehray hi nahi balkay sar say bhi baal uraye ja saktay hain .Wese tau Ganja Pan  kisi ko acha  nahi  lagta  aur  ziada tar  log ganja pan ko door karnay ka tips talash kartay  hain lekin  buhut say  log aisay bhi hain jinko ziada baal honay ka bhi masla hosakta hay ,zaroor nahi hay keh sir keh baal hi ..Buhut say  logo keh chehray per baal bhi hotay hain jis say chehra badnuma lagta hay aur khaas kar  un larkiyoon ko jinkeh chehray per darhi numa baal numaya hotay  hain aur isi tarha  buhut  say  logo ki gardan wagera aur dosri jaga per  yeh masla hota hay .Iskeh liye  yeh  nuskha jo bata raha hoon  , Yeh sanyasiyoon aur sadho  ka nuskha buhut hi qeemti hain aur sadiyoon say yeh in main azmaya hua hay jaha  woh zaroori maqamaat say apnay baal ura dete  hain aur umar bhar dobara  say  waha  baal kabhi nahi ugtay.

                      Dhaak  ki  Lakri lain  aur isay rakh bana lain aur  pani  main yeh rakh mila  kar  us  jagah  per malian  jaha say appko  baal urana matloob  hoo ,including face or whatever,is  tarha baal murda hojaye  ge aur phir isay app kisi bhi cheez keh zariye ukhaar dain . Phir oont ki  maingniyan (stool) lay lain aur jala kar raakh bana lain  aur isay sirkay main mila kar laip bana  lain aur usi jaga per malain .Baal ugna band hojayen  gain . Is formulay main  thori si karahat hay  magar rakh ki  howi stool lagani hay ,magar yeh bhi tau sochain keh yeh eik azmooda amal hay salo  saal say chalta hua a raha hay.Kuch logo  keh phir bhi asani say baal ugna band nahi hotay aur  dobara nikal atay hain ,iskeh liye 4 ,5  martaba yeh amal dohraye .Is tarha woh jaga aisay saaf  hojaye ghi  jese kabhi waha baal ugay hi na hoo..

5 comments:

  1. Dhaak kya hai? Uska koe dosra naam?

    ReplyDelete
    Replies
    1. Hi . Jis tarha bargad ka darakht hota hay , isi tarha dhaak ki lakri ki bhi eik qisam hay aur yeh common hay .. Kisi bhi pinsari ki dukaan per jakar unsay maloom karain , woh bata dega aur yeh aram say jari botio ki shop per mil jaye gi ..

      Delete
  2. Kitne minutes k liye lagani haiN dono chezaiN

    ReplyDelete