Tuesday 3 February 2015

TB Ka Ilaj



Tuberculosis 100 percent qabil e ilaj  hay aur  Pakistan main  hukumati  satah per  iska muft ilaj World health Organization  keh program keh mutabiq hota hay  aur  buhut si  dosri  countries ki tarha Pakistan main bhi TB  per  qabo panay keh tareeqay ko behtar bananay per kaam horaha hay.

Tap-e-diq aisa arza  hay jo ziada tar  lungs ko effect  karta hay .Is  marz  ka asal  sabab eik germs hay jis ka naam Tubercle Bacillus hay  aur  Saans keh zarye  eik say dosray fard tak muntaqil hota hay .Jub mutasira shaks  khansta hay ya  chinkta hay tau hawa main thook keh  zarye  yeh dosro ki  saans ki  naali  say jisam main phoch jata hay. Wese yeh marz ajj keh  daur main itna ziada aam nahi hay  lekin jo fard iski lapait main ata hay unko shadeed takleef aurpareshani ka samna hota hay .Is marz keh phailnay ka eik bara  zarya HIV bhi hay jo aids ka  sabab banta hay. kynkeh aids say mutasira afraad ki natural immunity  haad se ziada kum hojati hay aur iskeh  sabab TB keh germs asani say  hamla awar hojatay hain.


 

TB Ki Nishaniyan :


TB ki Alamaat keh  hawalay se dekha jaye tau  is marz ko 2 hisso main taqseem kiya jata hay .

1 . Inactive TB - Is  se  matlab aisa arza hay jo jokeh kisi fard main mojood tau hota hay lekin iskeh germs ya  sabab ban nay walay  bacteria  Inactive hotay hain  jiski waja se mutasira fard keh jisam per koi alamat zahir nahi hoti ..Is kisam keh tb ko Latent tb  bhi  kehtay hain aur yeh qisam itni  khatarnaak nahi hoti lekin phir bhi ilaj ki zaroorat hoti hay kyunkeh is say mutasira afraad main say 10 percent ko yeh  bimari hojati hay aur phir yeh log dosray afraad tak  apnay germs phocha saktay hain.


2 . Active TB - Is mai Virus active hojata hay aur  bimari ki alamat bhi nazar ana shuru hojati hay.Aur jo log mutasira fard ke  qareeb rahtay hain ,woh bhi asani say is marz ka shikaar hosaktay hain.Bacteria keh hamla awar honay keh kuch week baad sozish hojati hay aur jisam per alamaat zahir hojati hay lekin yeh bhi dekha gaya hay keh kahi mahino tak koi alamaat zahir nahi hoti magar kuch common symptoms khaas kar nazar atay hain.


Khansi , Bagair kis wajah keh wazan kum hona, thakawat rehna , Bukhar ki kefiat shaam ya raat keh waqt ,raat ko paseenay ki qasrat , kap- kapahat , chirchirapan aur mood kharab hona , bhook ki kami ya khatam hona . Magar zaroori nahi keh yeh sari signs zahir hoon ..Hosakta hay in main seh kuch eik ya is sy ziada zahir hoo.

Tb ki Wojohaat :


TB  ki asal waja ban nay walay chotay germs ya bacteria hotay hain jo microscope say nazar atay hain aur yeh bacteria ya virus eik insan se dosray insan tak hawa keh zariye phochtay hain .Aisay afraad jinko yeh bimari lagi howi ho aur unka koi sahi tarha se ilaj na horaha ho tau uskeh areeb kareeb keh logo ko bhi buhut ziada khatra hota hay kyunkeh aisay afraad ki khansi ,cheenko ya hansi wagera say yeh virus dosray fard tak muntaqil hojatay hain .Is haqiqat se inkaar nahi keh 1980 keh baad khaas kar khaibar pakhtoon khawa keh ilaqay main yeh bimari taizi se pheli hay aur yeh baat bhi wazeh hay keh TB aur HIV  keh sabab ban nay walay germs ka apas main gehra taluq hay aur in main say kisi eik ki mojodgi dosri  bimari ko dawat deti hay.
 

causes :


HIV virus ki Mojodgi.

Kidney Disease .

Diabetes .

Malnutrition ( Deficiency Of Vitamins ,Minerals etc) .

Old Age .

Tobacco or Smoking Too Much .

Nasha Awar Cheezon ka istemal jese sharab ya heroine .

Sehat Ka khayal na rakhne walay .

Cancer ki bimari ya uskeh liye ki janay wali caemotherapy .


Aisay afraad jo Dodh Ko ubaal kar na peetay hoon ,kyunkeh maweshiyon main yeh germs mojood hotay hain  jo dodh keh zariye pait main chalay jatay hain aur insan ko bimar kartay hain.

Vaccination


Agar yeh bimari bacho ko lag jaye aur iska bar waqt ilaj na kiya jaye tau bacha maut keh maun main jasakta hay .Is bimari keh tahafuz keh  liye ( bacillus Calmette) (guerin = BCG)  vaccine lagai jati hay aur paidaish keh fooran baad yeh vaccine lagai jati hay aur iskeh lagnay keh baad bacho ko kuch dukhan si hoti hay aur zakham bhi zahir hosakta hay jo ahista ahista sahi hojata hay.
 

Medicines For TB :


Is silsilay main ayurvedic ya hakemi dawa talash karna bekar hay kyunkeh iskeh germs buhut taizi say barhtay hain aur desi dawa  se iska ilaj na mumkin hay kyunkeh desi dawa kafi slow reaction karti hay ..Is silsilay main jo medicines di jati hay unko  eik khas quantity main  eik khaas muddat  tak use kiya jata hay , aur amm taur per tajveez karda dawa ko 8 months tak regular istemal karna hota hay aur is darmian eik din bhi medicines khana bhool jaye tau naye siray se dobara apka time shuru hojae ga aur itni hi muddat appko medicine continue rakhni paray ghi .Aur agar 8 months se kum use ki jaye tau jisam main kuch germs zinda baqi reh jatay hain jo wapis taizi say phail jatay hain aur mareez dobara bimar hojata hay..Eik aur baat yaad rakhni zaroori hay keh bar bar medicine kha kar beech main chor di jaye tau tb keh germs main drug resistance paida hojati hay,jis tarha insan ki body main antidode paida hojatay hain aur germs se lartay hain ,isi tarha tb keh in germs main medicines keh khilaf antibodies paida hojati hain aur phir woh germs body main hamesha zinda rehte hain ,isliye  app agar is bimari ka shikkar hay tau app se guzarish hay keh kisi hakeem ya attai keh chakkar main ya gharelu totkay keh chakkar main na paray aur kisi qualified aur professional doctor seh hi rabta karain .




2 comments:

  1. kya atdri me gante pad jati hai tb ki

    ReplyDelete
  2. Mre husbnd ko 3 mahine ho gae hy medicn khate again chk krwya dctr kehte koi frk ni par rha ab dbra medicn dy di hy 6 mahine ki kch smj ni arai hm bht tension me hy koi dctr achy s guid ni kr rha....!phle myrin p tblet kha rhe ab change kr di hy please kch bta dain hmy

    ReplyDelete