Wednesday 10 December 2014

Ajeeb O Ghareeb Jari Boutian


                     Medical  Science  nay  buhut  taraqi  karli  hay  aur  ajj   tamam  tar  Tibb  ki  jaga   Medical  Science   ko  prefer   kiya  jata  hay ,  aur  zahir  hay   jis  field  main  salo  saal  research  howi  ho , human  body  per  aur  dosri   technology  main   usi   ka  result   sub  say  acha  hoga .Lekin   phir  bhi   science   ka   muqabla   Nature    keh   samnay  kuch  nahi  .. Ajj  bhi   london ,America  aur   dosray   developed  countries   main   herbal   treatment   ki  jati  hay  aur   log   baray  shauk  say   herbal   supplements   bhi   purchase  kartay  hain.. Yahan   per   mera   batanay  ka   maqsad   , kuch  aisi   Ajeeb   O  Gareeb   Jari  Boutio   ka   taruf   karana   hay    jinkay   baray   main   kafi   kum  logo  ko  pata  hoga   aur   shayad  un  logo   ko   bhi   nahi   pata   hoga   jin   keh  ilaqay   main   yeh   jari  boti   paida  hoti   hay .Aisi   botia   appko   pahariyon ,jungle    ya  khaitoon  say   muft   dastyaab   hojae   gi.

Isay   Khanay   Say   Larka  Paida   Hoga  ,  Larki   Nahi 

                              Yoon   tau   aisi   aur  bhi  boutian   mojood  hain  jinkay   istemaal  say   larki  nahi ,  Larka   paida  hoga . Magar   yahan  main   jin  2  botio  ka   zikar  kar  raha  hoon   woh  asani  say   dastyaab   hojae  gi . In   keh   naam  hain   Shivlangi  aur  Bhang  ,  magar   inkay   beej  kaam  dete  hain  pattay  nahi. Bhang   ki   kisi   dukaan  ya  pinsari   say   bhang  keh   beej   mil   saktay    hain    aur   pansari   ya  allopathy  store  say  Shivlangi  keh   beej  mil  saktay   hain.  Jub   aurat  ko   hamal  tehar   jaye   aur   2 mahinay  hojae  tau  hamla   ko   hidayat   karain   keh   woh  bhang  keh   sabit  salim beej  rozana   eik  tola   sabit   kha  liya   karain ,kotnay  peesnay  ki  zaroorat  nahi   aur  pani   keh   sath   khana  munasib  hay . Aur   Shivlangi   keh  beej   4  adad   salim  pani  keh  sath   shaam  keh   khanay  say  pehlay   lena  zaroori  hay. Eik   mahinay  eik  tareeqa  karain .. Guarantee   hay   keh   Larka   Paida  hoga.


Isay   Hath  Main  Pakarain - Koi  Zehreela  Janwaar  Dank  Nahi  Mar  Sakay  Ga.


                                 Yeh  " Pathkanda" ki  jar  hoti  hay   aur   isay   " char-chatta"  bhi  kaha  jata  hay .Yeh   buhut   mashoor  boti   hay   aur   taqribun   har  pinsari  ki  dukaan  per   mojood  hosakti   hay . Kisi   bhi  hakeem  ya   Ilm- e -tibb   jan  nay   walay  say iskeh  baray  main   daryaft  kiya   jae  tau  woh  isay  zaroor  janta  hoga . Isko  hath  main  pakar   lain , zehrilay   say   zehrila   sanp  ya  bicho  bhi  apko  dank  nahi  mar  saktay  ga. Iski  taqribun   har  daur  main   har   zeeh  rooh   hosh   hakeem  nay  tasdeeq  ki  hay ..Magar  Sofi  Ram  Roop  Daman  Mashoor   tabib  nay   iskeh  baray   main   tehreer  kiya  hay  keh .

                               " Char-chatta   ki   jar  bacho  ko   pakarnay   keh   liye   bay  hud  mufeed  cheez  hay ,  magar   isay   teen  char   baar   moli  keh   pani  main  zaroor  bhigo  lain  ,yeh  ziada  munasib  hay . Aksar   madari  aur  Fankaar  log  apna  asar  jamany aur   apni  ehliat  ka  izhaar  karnay  keh  liye  is  boti  ki  madad  say  bicho  ya  saanp  wagera  ko  pakar  lete  hain   aur   woh  bicho  bay zarar  keeray  ki   tarha  hojata  hay.




Is  Keh  do -Teen  Pattay Eik  Baar  Pusht per  Maldain - Bacha Mota  Taza  aur Sehat  Mand hojae  ga .

                     Yeh  eik  be  hud  ajeeb  O  gareeb   aur  hairat  angaiz  tareeqa  hay , ap  eik  bangla  pan  lain  aur  isay  katha  chona  laga  kar  khanay  wala  pan  bana lain  aur  phir  is  main  app   2-3  pattay   kangi  booti  lekar  is  pan  main  rakh  kar pan  ki  tarha   khae   aur  iski  peak  lekar   bachay  ki  pusht  per  mal  dain .Isay  Rairh ki  haddi  ki   jaga  per  is  tarha  giraye  jese  apne  peak  thoki  ho aur  phir  is peek  ko  hathon  say  achi  tarha  malain , magar  ahista  ahista ..Kuch  dair  baad  pathar  per  safaid  keeray   namudaar  hongay   aur  in  keero  ko  ehtiat  keh  sath  waha  say  chun  dain , aur  phir  dobara   peek  giraye  aur  dobara  jub  keeray  namudar  ho  tau  unko  phir  say   hata  dain .Is  tarha  2-3  din   kartay  rahain , bacha  is  say  mota  taza  hojae  ga  aur  app  hairan  hojae   keh  itna  hairan  kun  aur  ajeeb  ilaj  apnay  pehlay  kyun  nahi  azmaya ..App  isay  ziada  say  ziada  zaroorat   mand   afraad  ko  bataye ..

Mooli  Say  Bicho   Ki  Maut  

                 Moli  keh  baray   main  tau  sub  ko  maloom  hay  aur  app isay  regular  use  bhi  kartay  hongay , yeh  moli  hay  jis  ki  app  salad  bhi  bana  kar  khatay  hian  aur   khanay  main  bhi  use  kartay  hain .Magar   is  main  buhut  si  khoobian  mojood  hain . Is  main  yeh  khoobi  hay  keh  agar   apko  bicho  dikhai  deh  tau  app  moli  ko  cheer  lain   aur  isay   bicho  keh  mun   per  laga  dain  ,woh  fooran  halak  hojae  ga . Agar   bicho  keh   zeher   ka  tor   talash  kar   rahain  hain  tau  moli   ka  pani  nikaal  lain  aur  is  main  jamal  gota  mila  kar  sheeshi  main  band  karkay  rakh  lain ..Ab  kabhi  bicho  kaat  lay  tau  yeh  zabardast  manjan  laga  dain.  Dard  , Jalan  aur  soojan  khatam  hojae  gi . Sirf  yehi  nahi  balkeh  agar  apko bhir , shehed ki makhi   aur   bicho  keh  katay  per  yeh  turyaq  laga  dain ,zeher  ka   asar  bilkul  khatam  hojae  gha.

Yeh Booti Salim Anday ko Gala Deti hay


Murree aur gilgit wagera main eik khatai amm milti hay jiska naam kokon hay aur waha keh log is  khatai  ko chatni keh taur per use kartay hain. Isay 10 tola ki miqdaar main lain aur half kg pani  main mila kar josh dain aur phir is main teen char anday bhi daal dain aur kuch minute josh dene keh  baad ando main soyi chubo dain aur agar soi chub jaye tau anday tayar hain .Ab in ando ko 4,4 tukray  karkay  HOney main daal dain aur mehfooz karlain  aur isay 3 din tak shehed main para rehne keh baad  istemal main laye .Eik eik tukra nihaar munh khana buhut hi ziada faida mand hay.Yeh jisam ko  mazboot ,taqat war, phurtila banata hay aur isay khanay say quwat e bah main bay panah izafa hota  hay.

Chaba Kar Thook Dene Say Maza Jata Rehta Hay


Murree ,kagan ,gilgit aur sawat main payi janay wali yeh boti garmar keh naam say mashoor hay aur  yeh har pinsari ki dukaan say amm mil  jati hay .Bangali main isay sirasangi kehte hain .Iska safoof  diabetes walo keh liye buhut acha hay aur .Iska powder bana kar rozana diabetes keh mareez ko 10  gram pani keh sath  din main chaar martaba khila diya jaye  tau buhut jald yeh marz say hamesha keh  liye nijaat mil jati hay . Aur isi marz keh ilaj keh liye yeh boti duniya bhar main mashoor hay .

              Iski  eik aur quality yeh bhi hay keh iskeh pattay ya jar ko chabba kar app thook dain  aur iskeh baad app cheeni ya koi meethi cheez khaye tau iska zaiqa bilkul mehsoos nahi hoga, isi  waja say iska naam garmar rakh diya hay.

 

 Phata hua Dodh Theek HOjaye

 

Yeh boti Pakistan bhar keh kohistani aur garam ilaqoon main kasrat say paida hoti hay aur iska naam kanghi hay ,shayad apne is say pehle yeh naam suna bhi ho aur yeh eik amm aur mashoor jari boti hay.Eik foot say lekar 6 foot buland shakhain, injeer keh patto say miltay jultay pattay jo kangra daar hotay hain aur gool bhi hotay hain aur kangi bhi isi waja say isay kaha jata hay.

                                   Kuch Janwaro ka dodh garam karain tau phat jata hay .Agar yeh bhains hay tau isay charay keh sath eik sair bhar kanghi mila kar khila di jaye tau uskeh dodh main yeh nuqs khatam hojata hay aur dodh bhi achi quantity main milnay lagta hay .Aur aisa dodh jo pehle hi phaat chuka  hoo  usay garam karain aur chamchay ki bajaye kangi ki shakh phairtay rahain tau dodh apni pehle wali halat main wapis a jata hay .10 ,15 minute  tak yeh amal karnay say dodh theek hojaye ga  lekin yeh  taza dodh jesa nahi rehta magar is say ghee aur makhan nikala jasakta hay . Iskeh ilawa kangi keh aur bhi faiday hain aur isay buhut say log zaroorat keh hisaab se use kartay hain.Yeh dhairo dodh ko hazam kardeti hay ,rang surkh aur safiad karti hay , mani ko garha karti hay ,badan ko taqat deti hay aur  jisam ki nasho numa keh liye buhut behtreen hay.


 

8 comments:

  1. Bahot umda aur behtareen jankari jadi bootiyon ke bare me...msin ab tak anjaan tha....shukriya..

    Agr cancer ka mokammal ilaaj kya jadi booti se munaseeb hai.....zarur bataye..

    ReplyDelete
    Replies
    1. Yes Amaan , Cancer ka ilaj bhi jari boution se mumkin hay ,lekin is main buhut hi aisay ginay chunay tabib hain jo kar saktay hain .. Taqribun 100 % main say 0.1 % keh kareeb hi aisay tabib hongay jo cancer ka ilaj kar sakay .

      Delete
  2. Kangi Booti kaha se mily ge app bta sakty ho ?

    ReplyDelete
    Replies
    1. kangi booti aur kis name se aty hai Pakistan main kaha kaha mil sakty hai easily plz inform me.

      Thanks

      Delete
  3. heart attack se bechao k lye knsi booti istimal hti hai???

    ReplyDelete
    Replies
    1. Garlic is the best natural thing to control heart diseas and weight lose and control colestrol level

      Delete
  4. Is book ka pdf chahiye 03152939422 is number per whatsapp kar dain

    ReplyDelete
  5. Please try to write in pure urdu , not in Roman urdu.

    ReplyDelete