Monday 1 September 2014

Ispaghol ka Faida



 Amm taur per ispaghol ko ziada tar unani medicine ya desi ilaj main use kiya jata hay, lekin ispaghol wese tau koi dawa nahi magar qudarti taur per is main buhut se aisay  faiday hain jis say bimarion se bachao ziada mumkin hay ..Ispaghol kay baray main taqribun  sub ko yeh maloom tau hoga keh ispaghol Gandum se nikala jata hay aur wheat ka jo fiber hota  hay ,jokeh 100 percent Pure fiber hota hay usay ispaghol kehte hain magar yeh bhosi apnay  andar kafi faiday rakhti hay ..Wese bhi fiber ka istemal body keh liye buhut zaroori aur  faiday mand hay ..Ispaghol ki taseer thandi hoti hay ,isliye isay stomach problems jese qabz  kay liye regular use kiya jae  tau  hamesha keh liye qabz khatam hojata hay ..Badhazmi main  iska istemal wese nahi karna chahiye  lekin pait ki garmi ki soorat main dahi main thora sa  ispaghol mila lain .. Iskay ilawa  Blood kay cholestrol ko qudarti taur per control karnay main ispaghol kafi mufeed hay aur  Sugar level ko control karnay kay liye bhi ispaghol ka istemal karna chahiye ,kyunkeh doctors sugar keh mareezo ko brown bread use karnay ka kehtay hain aur brown bread main  95 %  fiber hoti hay jokeh eik tarha se gandum ka resha hi hota hay..Kyunkeh pehlay zamanay main pure gandum mil jata tha aur bahir ki bread , roti ,parathay wagera ka istemal buhut kam hota tha tau body main fiber ka zaroorat pori hojati thi magar ajj keh daur main artificial aur bahir ki khoorak kafi aam hogayi hain aur log ziada tar  maiday ki bani howi chezain buhut khatay hain  ,jo keh na sirf wazan barhati hain balkeh  blood sugar level main bhi ziada izafa karti hain ,isliye is kafi ko pura karnay kay liye ispaghol ka regular istemal kartay rehna chahiye..

                     Khaas  kar  jo  log Motapay ki taraf  ja rahay ho  aur  apnay wazan  ko barhta hua mehsoos kar  rahay ho  ,unhay fori  taur  per  jitni  bhi maiday ki bani howi ya white flour  ki  bani  howi  cheezain  hain woh chor  deni chahiye  aur isabghol ki bhosi keh saath  saath  apni  khorak main  brown flour  ko  use karna  chahiye , brown bread bhi achi  hay  aur  gandum ki  roti wagera .yaad rahay keh chapati  bhi  2  kisam ki  hoti hay ,eik white  flour ki  aur dosti  brown atay ki . Isliyeh  chapati  bhi brown use karain , lekin agar ispaghol keh  istemal se  agar appko loose motions ziada hona  shuru hojaye tau phir iska istemal rook dain  aur sirf  brown atta hi use karain..kyunkeh badhazmi main iska istemal  aur  ziada pareshan kardeta hay ..


No comments:

Post a Comment