Tuesday 22 July 2014

Jild Ki Hifazat Kay Liye




Banao singhar Aurat ka paidaishi haq hota hay aur har  aurat ki  khawahish hoti hay keh woh ziada se ziada khoobsurat aur  Pur kashish nazar aye aur is  kay liye woh har tarha keh jatan karti hay.Keemti ,khoobsurat aur nae  design  kay  kapray banwati hay  aur chehray aur Baloon kay singhar kay  liye Beauty Parlour Jati  hain.Ab Tau Kafi ziada Beauty Parlour Khul  gaye hain aur aur  Khawateen khoobsurat nazar anay kay  liye buhut se  rupay pesay kharch karti hain aur Apne  husband ki jaib khali karwa deti hain ,lekin gareeb aurat kaha jaye . Mukhtalif Companies is  say Faida utha kar nayi nayi  ishtehari Products launch karti hain aur  khawateen ki is kamzori se  faida uthati hain.


                     Lekin chehray ki jild kafi sensitive hoti hay aur iskay liye koi bhi cream ya facial doctor  wagera kay mashoray kay bagair use ki jaye tau woh nuqsan deh hoti hain.Ulta chehra khoobsurat honay ki bajaye  chehray per danay bhi nikal saktay hain.Aur agar nuqsan na bhi ho tau faida bhi nahi hosakta . Is liye ap ko chahiye keh is tarah beauty parlour jana aur pese zaya karnay say acha hay keh kuch gharelo totkay istemal kiye jaen.Aur eik baat apne zehen main zaroor rakhain keh gora honay se koi khoobsurat nahi hota balkeh khoobsoorti tau face cuts per depend karti hay ,jese naak ka shape , face kay naqsh ,ankhon ka shape aur Palkain ..Isliye sirf gora honay say zaroori nahi hay keh insan khoobsurat lagay...Qudarti taur per agar app ko apne rang ko chamak daar banana hay tau iskay liye exercise ki jasakti hay ..Pani ziada say ziada peena chahiye,magar khana khanay kay baad nahi ,khanay say pehlay..Vitamin C wali  drinks aur juice piyen..Phir appko kabi parlour janay aur rang gora karnay ki zaroorat nahi paray gi..Yahan per Main Jild ki hifazat kay liye kuch achi si tips bata deta hoon.





Types Of  Skins :


  Insani jild aam taur per teen kisam ki  hoti hay . Chikni , khushk ya normal yani na ziada chikni na  khushk..Yeh maloom karnay  kay  liye raat ko  sonay say pehlay apne face ko achi tarha say ,kisi achay  soap  say dho  lain  aur koi cream na lagaye..Subah uth kar munh dhonay say pehlay  chehray  ko cotton ya tissue paper  say ragrain..Sub say pehlay naak aur chin saaf karain aur agar cotton per chiknayi hay tau  zahir hay chikni jild hogi aur agar cotton saaf hay tau  jild khushk ya normal hogi, Khushk jild sabun say dhonay aur sokhanay keh baad khinchi khinchi si hogi.


Chikni Jild :



   Chikni jild walo ko amm taur  per danay ,mahasay aur phoray phansiyon ki shikayat rehti hay kyunkeh chiknayi  masamo  ko band kardeti hay isliye chikni jild walo ko din main kahi bar sabun  say munh dhona chahiye.Garam pani say munh dhonay say masaam khultay hain aur chiknai saaf hojati hay aur baad main thanday pani say  munh dho  lain ya  barf per ragrain takay masaam  band hojae .Jin logo keh chehray  per keel, danay  nikaltay hain unhay chikni ,garam aur  khatti cheezon  say parhaiz karna chahiye.Parathay ,mithai ,mevay , mong phalli wagera nahi khana chahiye  aur  ghee ka istemal bhi kum karna chahiye..Fruits aur vegetables aur juice ka istemal ziada karna chahiye .Agar jild har waqt chikni rahay tau anday ki zardi main sangitray  ka ras mila kar chehray per  lagaye..Is say  chehray ki jild ki kharabi door hojati hay..Anday ki safaidi phaint kar chehray per lagaye aur 15 minute baad munh dho lain.chiknahat khatam hojae gi..


Dry  Skin :



       Agar app ki jild dry rehti hay  tau apko soap wagera ka istemal kum karna chahiye..Mulaim rakhnay kay  liye raat ko chehray per  Balai laganay say jild mulaim hojati hay .Safaid  Glycerin main  gulab ka arq aur lemo ka juice kay qatray mila kar  lagana bhi buhut faida  deta hay..Taza aur acha dahi khushki ko door karta hay..Anday ki zardi aur tail mila kar laganay say bi dryness khatam hojati hay ..Makhan laganay say bhi Jild mulaim rehti hay.

       Agar chehray kay masaam khul jaye aur inki waja say chehray per garhay par jaen tau thori si multani matti le kar aur arq-e-gulab  main kuch drops lemon juice daal kar matti ko bhigo dain aur jub matti gul kar layi si ban jae  tau chehray per laip kardain. 15 minute baad jub yeh dry hojae  tau taza pani say  dho  lain aur rozana  din main eik baar baraf kay tukray ko safaid malmal kay kapray main lapait kar chehray per malain.

       Face ki skin  buhut  sensitive hoti hay aur phir sara din dhoop aur gard-o-gubar ya dhuwa bhi jild ko kharab kardeta hay isliye  iski hifazat kay liye khas tawajah deni chahiye..Ajj kal kafi aisi creams bhi market main agayi hain jo chehray ko harmful sun rays say bachanay kay liye  use ki jati hay ,jis say skin cells destroy nahi hote.Lekin zaroori nahi hay keh iskay liye hum mehengi creams wagera use karain ya beauty parlour jaen ..Hum isay naturally taur per bhi iski hifazat chotay say gharelo totkay say kar saktay hain..Green tea main kuch compounds aisay bhi hotay hain jo skin ko Sunrays say honay wali damaging say bachatay hain isliye green tea ko anti aging bhi kaha jata hay ,kyunkeh is say skin ko kafi faida milta hay aur skin waqt say pehlay jurya parhnay say mehfooz rehti hay.

No comments:

Post a Comment