Yeh eik
muhlik bimari hay jo wabai
taur per phailti hay . Mareez stomach main
dard mehsoos karta hay aur
dard keh sath
piyaas , vomiting , aur
patlay motions hotay hain ..Dasto
ka rang aur
qawam chawal keh
peech ki tarha hota hay aur mareez
taizi se kamzoor hojata hay.
1. Saat e podina
, saat
e ajwine , saat
e kafoor sub
hamwazan eik saaf
shishi main mila kar band
karkay rakh lain. Yeh pani
jesa hojae ga .. 5 qatray
eik bara chamcha pani main mila kar thori
thori dair baad
piyen . Qatro ko sugar main mila kar bhi day
saktay hain.
2. kuch
surkh mirchain pani main
pani main ghoot lain aur isay pi
jayen ..Is tarha
haizay say afaqa
hoga.
3. kali
mirch 8 adad -
zara si misri
aur 2.5 tola
piyaaz lay lain aur
isay achi tarha ghoot
lain ..Bareek hojae tau
is main pani
mila kar pi
lain. Haizay ko araaam hoga.
4.
lemo garam karkay
cheeni laga kar choosnay say
ji matlanay aur
haizay kay liye mufeed hay.
5. Lemon
aur piyaz ke rus main
cheeni mila kar
sharbaat tayar karlain aur
zaroorat parhnay per
thora thora piyen …Sharbat
cheeni keh bartan main
tayaar karain.
6 . Piyaaz
ka rus 25 ml
, un bujay choonay
ka pani 25 ml , honay
50 ml ..In sub dawaon ko mila lain.. 6
ml thori thori
dair baad piyen.
7 . Neem
kay pattay 5 adad
, kali
mirch 5 adad ,
arq e gulab 60 ml .
Dono ko pees kar arq
e gulab main
achi tarha mila
lain aur phir
chaan kar piyeen.. haizay keh liye
behtreen dawa hay.
8 . kuch
karwi sabz mirch
lain aur isay
pani main bareek ghoot
lain aur pi
jayen..Yeh bimari foran
khatam hojae ghi.
9. sikanjbeen sada 60 ml ,
arq e gulab 50 ml
, dono ko mila kar
thora thora din main kahi
baar piyen.
No comments:
Post a Comment