Gurday ka Dard
Lemon juice
12 ml , suhaga 250 mg ,
noshadar 250 mg , shoora
qalmi 250 mg,
sub ko mix
karlain ..Dard ki
shidaat ho tau
istemal karain.
Makai (corn) keh
bhuttay keh baal
25 gram , half
litre pani main
josh day kar
chaan lain ..Is pani
ko din main
3 say 4
baar pi lain.
Moam kacha
baqadar zaroorat matar
kay barabar golian
bana lain . Eik goli
halkay garam pani
keh sath din
main do baar
khayen.
Kali mirch
5 adad , anday
ki zardi 1 adad
. Kali mirch ka
safoof bana lain aur isko
anday ki zardi
main achi tarha
mila lain aur
thori si haldi
bhi mila lain. Yeh
laip kamar per
dard ki jaga
per lagaye.
Pishaab Ka Bar Bar Ana
Is main
pishaab bar bar
ata hay jisay
rokna mushkil hojata hay .
- Kala till , Ajwine , Gur hamwazan lay lain .. Till aur Ajwine ka safoos bana lain aur gur mila lain .. 6 gram sonay say pehlay kha lain.
- daar cheeni zaroorat ke hissab say powder bana kar rakh lain . Eik gram pani keh sath sotay waqt khaye.
- Tillo main shakkar ya gur mila kar adhi chatang tak rozana khaye . is say pishab ziada nahi aye ga.
Pishaab Ka Ruk Jana
- Is main pishaab buhut kam miqdaar main jalan keh sath ata hay ya kabhi bilkul band bhi hojata hay.
- Rayvond cheeni baqadar zaroorat bareek safoof bana lain .. 500 mg pani keh sath kha lain.
- Pishaab jal kar ata ho tau piyaaz eik chantank ko bareek karkay adha litre pani main josh dain ..Jub pao bhar baqi rahay tau chaan kar thanda karlain aur pila dain ..Jalan khatam hojae ghi . Ya phir Dhania 6 masha pani main goot kar chaan lain aur is main misri aur bakri ka dodh pait bhar kar pila dain .
Sotay Main Pishaab Karna
- Is bimari main Pishab gair iraadi taur per sotay main bister main hi nikal jata hay aur yeh amm taur per Bacho main ziada hota hay .
- Singhara khushk , Shakkar barabar miqdar main lay lain .. Singharay ka bareek safoof bana kar shakkar mila lain . 6 gram din main do baar khaye
- Amlay ka chilka 10 gram , Kala zeera 10 gram , Honey 60 gram .. Amla aur zeera bareek pees lain aur 6 gram honey mila lain ..Raat sonay say pehle yeh dawa lain .
No comments:
Post a Comment