Thursday 6 March 2014

Nazar Ki Kamzori






1 . Sonf  aur  sugar ( chini)  dono  barabar mila kar raat ko khanay se  nazar taiz hojati he .

2. haldi ko pees lain achi tarha se  aur mehfooz karlain. Raat ke waqt  3-3  silai dala karain  ankhon main. nazar ki kamzori door hojae ghi.


3. Sarsu ka tail  ankhon kay liye buhut acha he..hamesha raat ko sonay se pehle sarsu ke tail ke  kuch drops ankhon ke uper  lagain aur malish karain ,is se nazar bhi kamzoor nahi hogi aur  ankhon ki dosri bimarion se banda mehfooz rehta he.



4. Char badaam - chutki bhar sonf  aur  zara si misri le kar raat ko sotay waqt kha lain aur khanay kay baad  pani bilkul nahi peena .. nazar taiz karne kay liye zabardast totka he.


5 . Carrots ka  ziada  se  ziada  istemal karain .Carrots main Vitamin A hota hay .Aur iske istemal se  ankhon ki binai  burhapay main bhi kamzoor nahi hoti.


6 .  Nahanay say pehle  apne  dono legs kay  angotho (thumbs) per sarsu ka tail  maliye ,kabhi nazar  kamzoor nahi hogi..Chahay age 100  se  ziada hojae.



7. motia jub paka nahi ho aur naya naya utar aya hoo tau ibteda main piyaaz ka rus eik tola, khalis shehed 1 tola, kafoor 1/4 tola  sub mila kar rakh lain, aur raat ko sotay waqt 2,2 silai dala karain..Is say utarta hua motia ruk jata hay balkeh utra hua bhi saaf hojata hay.


8.  Lodh pathani 6 gram, arq e gulab 60  ml ,  lodh pathani ko  arq e gulab main 2 ghantay tak bhigoyen aur phir  chaan kar  eik  saaf  shishi main rakh lain.. 2  qatray subah aur sham ankh  main  dalain.







No comments:

Post a Comment