Saturday 22 March 2014

Kharish aur Heart Attack Ka Anokha Ilaaj


Shaam  ka  waqt  tha  ,jub  mere  Matab ( dawa khanay)  main eik  ajnabi  mere  samnay  aya  aur salam  karkay  Qursi per mere  samnay  beth  gaya.Mere  na pehchan nay per  bhi  usko  kuch  hairat  na  howi . Usne  pocha ,kiya  app nay mujay pehchana nahi ,mene  kaha , " ji bilkul bhi nahi" . Phir mujay  pata  chala  keh woh mera purana dost mohsin tha  aur  kuch  mahino pehle  tau woh  shave kiya karta tha aur uskay  rukhsaro per  gulab ki  patiya larazti  thi aur  ab  wohi  rukhsaar  darhi  keh lambay siyah baloon  say  dhakay howay thay. Yeh sub  dekh  kar main hairan reh gaya aur woh kafi udaas lag raha tha.

           Usne kaha ,main beemar  hoon ,buhut ziada beemar .Penicillin  keh  12 injection  ab  tak  lag  chukay hain lekin koe faida nahi how aur bhi buhut say ilaaj kara  chuka hoon.Mujay  hairat  howi keh akhir aisa kyun howa, usnay  bataya howa kuch khaas  nahi tha bus eik din shave kar raha tha aur blade say zara  si khaal cut gayi aur phir  saray  chehray per danay paida hogaye  jo  phail  kar zakham hogaye  aur zakham say sairo  pani rasta hay. Pooray  badan main  shadeed kharish hogayi aur heart attack bhi honay  laga.Mene  usko buhut  gaur say dekha  aur  nuskha likhna chaha ,usnay qalam pakartay howay  kaha  keh  dawaon say  tang a chuka hoon,ab main  khud kushi karsakta hoon,dawa nahi pi sakta .Usnay  kaha mujay koe  tarkeeb nahi bata saktay kiya.Bata sakta hoon , zaroor bata sakta hoon ,mene zara dair soch kar kaha .Kuch minute baad mene kehna shuru  kiya . " app  rozana  suraj nikalay say pehlay  shehar kay bahir kisi khulay maidaan main sair kay liye jaya karain  aur taiz  taiz  chaliye takay  appko  baray baray sans lene  ki zaroorat ho  aur sans lete waqt mun bilkul band rakha jaye aur naak say sans li jaye  aur  is  dooran  zara zara si dair baad  hawa  ki  taraf  rukh karkay kharay hojaya karain  aur khoob  gehray  gehray sans liya karain. Shaam ko bhi isi  tarha kiya  karain.

             Mohsin sub say ziada  chehray ke zakhmo  say  pareshan tha aur us nay shave karna  bhi choor diya tha.Aglay  hi  din  say  usnay  is  program per amal karna  shuru kardiya . 10  din baad  usnay bataya  keh ab  zakhmo  say  pani nahi rasta  aur zakham sokhnay bhi lagay hain. Mena kaha keh  ainda  app  sunlight  bhi  apni body per phochaye.Iskay  liye  apni shirt  utar kar  nikaltay huwe  suraj  keh samnay  kharay hojaye  aur  thoray  thoray  waqfay  keh  baad  side change kartay rahain  takay  body keh har  hissay  per  sunlight  phoch sakay. Dhoop lene keh fooran baad  sandal ka tail body per mal kar  neem  kay  sabon  say  ghusal  karliya karain.

                    Isi  hidayat  per  woh  amal  karta raha  aur uski sehat  taizi say theek honay  lagi..Ghiza keh  silsilay main  sakht ehtiat  ki  hidayat  ki gayi. Woh sirf tarkari hi  khata  tha  aur  kuch Fruits wagera. Jub  woh   tandrust hogaya tau  mene usko  bakri keh  dodh  main  sharbat-e-anab   daal kar peene ko  kaha aur ahista ahista dodh aur  sharbat  ki quantity main izafa karnay ko  kaha  aur dodh ki quantity half litre tak  kardi . 40  din  guzarnay  per uskeh  zakham  bilkul sookh  chukay thay. Kharish bhi  khatam hogayi thi  aur  heart  attack  eik  baar  bhi  nahi  howa tha .Woh itna  dara howa  hay  keh ajj bhi  is hidayat per  amal karta hay  aur isko usnay apnay routine main  shamil karliya hay.

No comments:

Post a Comment