Friday 14 March 2014

Dantoon Ka Dard Aur Masoorhon Ka Waram



Masoorhoon  main  jub  soojan , dard aur  surkhi hoti ho  aur  mareez  aur jub mareez dannt ke dard se baichain rehta hoo ,tau yeh formula  use karain.


1.  Kafoor ,soonf ,  barabar  wazan  main lekar  bareek  pees lain  aur  masoorhoon  aur  dantoon  per  ahista ahista maltay  rahain.


2.  Darh  kay neeche  adrak  ka tukra  le kar chaba lijiye , khoob achi  tarha  se daba kar rakhain, is  tarha  sara  badi ka  aur ganda pani  nikalta rahay ga aur dard khatam hojae ga.


3.   Agar  dantoon ya masoorhon  se khoon ata rehta hoon tau   iske liye yeh  behtree totka  bata  raha hoon ..Jald  shifa mile  ghi.   Anar ke  phool   saye (shadow)  main sukha kar khoob bareek pees lain. subah aur sham  manjan ke tareeqay se dantoon per mala karain. Is say na  sirf  khoon ana band hojae ga  balkeh  apke dannt  bhi mazboot hojae  gain.


4.   Agar  kachi  gajar  ka  rus rozana  eik  chatang pil liya jae  tau masoorhon aur dantoon ki bimarian  asani se paida nahi hogi  aur khoon saaf rahay  ga.


5.   Zara  sa  honey  sirkay main daal  is  se kulli  kiya karain  tau  masoorhain mazboot  hojaen ge aur  dant  bhi  is  se kafi  mazboot  hote hain.


6 .  Adrak  ka  rus nikall lain aur is  rus main thora sa namak mila lain.


7 .  Zaban main chalay par jaen tau paka kela  gaen kay dahi kay sath  subah subah use karna chahiye.




No comments:

Post a Comment