Thursday 6 March 2014

Ankhon Ki Bimariyan (Eyes Problems)




Ankh Dukhna :

             Ankh ki opri jhili ke waram main  ankh  surkh (red) hojati he aur ankh se ansoon behne lagte hain aur roshni se taklif hoti he. Ankhon se ganda mawad nikalne ki wajah  se  papotay  chipak jatay hain .


Totka :

1.  Suhaga  zarorat ke hisaab se bhoon kar  usay khoob bareek pees lain.Din main 2 baar ankhon main lagain.

2.  rasoot ,phitkar ,chaksu , haldi sub  ham wazan le kar usay pees lain aur pani main mila kar laip bana  lain.. sotay waqt  papotay  per lagain.

3.  Suhaga 2  gram - haldi 2 gram  , bareek  pees lain aur 250 ml  water main josh dain aur  chaan lain. eik saaf  kapray  ka tukra le kar  is  joshanday  main bhigo kar ankhon main malain.

4. ankhon per  khalis dodh ( Pure milk) ki  malai kisi kapray per rakh kar bandh lain. Is doraan ankhain band rakhain. kum se kum 5 ghantay ankhain band rehne dain. Ankhon kay har marz kay liye shifa  he.


5. Ankhon main zara sa  shehed( honey)  dalian aur phir 15-20 minutes ke baad ankhain dho lain..Is  say  ankhon ka dard khatam hojae  ga aur  binayi (vision)  main izafa bhi hoga.



6. Anaar ke dano ke ras ko tanbay(copper)  ki  katori main dal kar agg per pakain.Jub garha hojae tau  jast (zinc) ki  dabbi main  rakh lain..Rozana ek eik  silayi laganay se ankhon  ki  kharish, Palkon ke baal girna , ankhon ka surkh rehna  aur dosri takleef khatam hojati hain.



Ankhon Ka Waram Aur Zardi :

  Kalonji  lay lain  aur  eik  ya dairh pao  pani  main josh  dain  aur  phir  is  say  ankhain dho lain  aur isi  josh  shuda  pani  say  waram door  hoga aur  yeh  amal kuch roz karain.

 Zardi keh liye  kalonji  keh  7  danay lekar  aurat keh dodh main eik gantay keh liye dubo dain aur  naak  main  charhaye . Yeh  ankhon ki  zardi  ka  mufeed tareen haal  hay. Agar motia ibtedai  halat  main  hay  tau rozana eik  qatra  kalonji oil  ankho main dalain magar hoshiar  rahain ,yeh ankhon ka  mamla hay 
.Bazar se liya hua  oil khalis nahi hota ya phir khud apnay samnay nikla  hua ho tau sahi  hay  lekin agar  thora sa bhi doubt hay tau na karain ,warna buhut nuqsan hoga .


 


No comments:

Post a Comment